Showing posts with label Love Shayari. Show all posts
Showing posts with label Love Shayari. Show all posts

Bewafa

Bikne Wale Aur Bhi Hain, Jaa Kar Kharid Lo…

“BEWAFA”

Ham Log KEEMAT Se Nahi, KISMAT Se Mila Karte Hain___

Apne zaat me

Ab ye socha hai apne zaat ma rahenga 
Mohsin
Bohat daikh lya logon sa shanasai kar kay

Sham ka say

Jab sham ka say dhaltay hain yaad tumhare ate hai
Har zakham kanwal ban jata hai har dard ko neend ajate hai

Mohabbat Mashwar

Humy samjhao na humay maloom hai sab kuch 
Mohabbat mashwara hote to tum say poch kar kartay

Hamari Zindagi Tum Ho

Tumhari Baat Lambi Hai Dalelain Hai Bahane Hain

Hamari Baat Sirf Itni Hai Hamari Zindagi Tum Ho


Chal kuch dair intzar krain


Chal kuch dair intzar krain

Shayed k us k dil se
Badgumani ki braf pigal jay
Shayed k us ki ana ka suraj 
Aik din dhal jay......... .......


Shayed k wo kuch hum se
Milny ko machal jay
Chalo kuch dair intzar krain
Ho sakta hai wo.......... ....

Ana ki diwar gira daly 
Ho sakta hai wo ............
ehd-e wafa nibha daly 
Ho sakta hai wo ............ .

Humain akhri baar bula daly 
Chalo kuch dair intzar krain 
Mumkin hai apni qismat main b
Koi kamal ho jay ............ .....
Us ka dil b hmari trah 

Dard se behal ho jay........
Khushiyon ki arzu main 
Wo b nadhal ho jay.........

Chalo kuch dair intzar krain 
Apny muqader ki ............ ..
Tareek raton k jany ka
Us bichry huay dost k lot aany ka
Kash us ko b khyal aay
Humain manany ka.......... ..


Chalo kuch dair intzar krain 
Kuch dair aur khud ko 
Beqara krty hain ............ .


Chalo tmhary liay ............ .
Shikasat ka iqrar krty hain 
Shayed k tum lot aao 
Tumhara intzar krty hain 
Chalo k phir tajdeed-e muhabbat 
Aik baar krty hain ...


Bahut hasin hai mera dilruba na ho jaye

Bahut hasin hai mera dilruba na ho jaye
meri nazar mai wo kafir khuda na ho jaye

tamam shahar mai meri wafa ke khushbu hai
purana zakhm kisi ka hara na ho jaye

na jane kitane baras bad wo mila hai mujhe
hai dar yahi ki wo phir se juda na ho jaye

main us se tut ke milta hun jab bhi milta hun
ye mera milana kaheen hadasa na ho jaye

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
bhale chin lo mujhase meri javani
magar mujhko lauta do bachpan ka savan
wo kagaz ke kashti, wo barish ka pani
muhalle ke sabase nishani purani
wo budhiya jise bache kahate the nani
wo nani ke baton mein pariyon ka dera
wo chahare ke jhuriryon mein sadiyon ka phera
bhulaye nahi bhool sakata hai koi
wo choti si raten wo lambi kahani
kadi dhup mein apne ghar se nikalana
wo chidiya wo bul-bul wo titali pakadana
wo gudiya ke shadi mein ladana jhagadana
wo jhulon se girna wo gir ke sambhalana
wo pital ke challon ke pyare se tohafe
wo tuti hui chudiyon ke nishani
kabhi ret ke unche tilon pe jana
gharonde banana banake mitana
wo masum chahat ke tasvir apni
wo khwabon khilaunon ke jagir apni
na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khubasurat thi wo zindagani

Jo baat ham keh nahi sakte

Jo baat ham keh nahi sakte ham usay farz karte hain

Chalo ham farz karte hain hmain tum se muhabat hai


Mehsoos kar raha hoon main

Mehsoos kar raha hoon main jene ki talkhian

Shyad muje kise se muhabat nahi rahi



Neend to Anay

Neend to Anay ko thi par Dil pichly kisy le betha

Ab khud ko be waqt sulany main kuch waqt lagay ga.





Takseen-e-Mohabbat ke...

Takseen-e-Mohabbat ke Faqat do hi Tareeqe thay,

Ya dil na Bana hota, Ya tum Na Bane Hote….!




Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...