Showing posts with label Hindi Poetry Wallpaper. Show all posts
Showing posts with label Hindi Poetry Wallpaper. Show all posts

Mujha ajzi ma wo mila

Mujha ajzi ma wo mila 
K jo gharoor tha wo nikal gaya
YA ALLAH 
Teray karam ke aise hawa chale
K ma girtay girtay sambhal gaya

Khayaloon ke dunya

Tanha samajh raha hai koi hamray dil ko
Dunya basi hoi hai is me kisi ka khayaloon ki

Kissa Mashhoor Hai Zindagi Ka

Has Kar Jeena Dastoor Hai Zindagi Ka
Ek Yehi Kissa Mashhoor Hai Zindagi Ka
Beete Huye Pal Kabhi Laut K Nahi Aate
Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka

Pardon Ko Raaz

Uthny Ho Pardon Ko Raaz Hum Bhi To Daikhain,                                                                                          Konsa Chaand Chupa Hai Is Naqaab Ke Pechy...!!! -

Rasta

Us Ne Door Rehna Ka Mashwara Bhe Likha Hai 
Sath He Muhabbat Ka Wasta Bhe Likha Hai 
Us Ne Ye Likha Hai Meray Ghar Na Ana 
Saath He Saaf Lafzoon Ma Rasta Bhe Likha Hai....

Silent Boy

Usey Bhool Jana Hai Ya Usy Yaad Rakhna Hai,                                                                                           Dukh To Ek Jesa Hai...... Bass Intkhaab Karna Hai...!! -

Sooraj

Sooraj Humain Har Shaam Yeh Dars Deta Hai,                                                                                           Maghrib Ki Taraf Jaogy To Doob Jaongy...

Gungunatay Hue Anchal


Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko

Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sunlla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...