Jo likho kabi tareekh wafaa ki..

Mujhe bhi yaad rakhna jo likho kabi tareekh wafaa ki,
Mene bhi lutaaya hai mohabbat main sakoon apna..

Tamaam raat mere ghar ka aik dar khulaa raha..

Tamaam raat mere ghar ka aik dar khulaa raha,
Mein raah dekhti rahi woh raasta badal geya..


Vaada kar lete hain nibhaana bhool jatey hain..

Vaada kar lete hain nibhaana bhool jatey hain,
Laga kar dil mein aag bhujaana bhool jatey hain,

Mein to khoob tayaari karti hoon sab sajaaa kar,
Magar woh ain’waqt per aana bhool jatey hain,



Main jo yaad kar loon jawaab sab sawaalon ke,
Imtihaan nahin lete aazmaana bhool jatey hain..

Khamoshi me bassar ho jaye..

Zabt kehta hai khamoshi me bassar ho jaye,
Dard ki zidd hai duniya ko khabar ho jaye..

Hum pe naazil hua hai ishq aese..

Hum pe naazil hua hai ishq aese,
Jese qoamon pe azaab aata hai..

Yunhi umeed dilatey hain zamaney waley..

Bas yunhi umeed dilatey hain zamaney waley,
Laut kar to naheen aatey hain jaaney waley,
Mohabbat to lagti hai bheek ki maanind,
Khud hi nibhaatey hain nibhaney waley,
Kya zulm ka manzar hai ya khawb hai yeh,
Afsos bhi karte hain ghar jalaney waley..

Bana kar Taj Mahal kisi shehenshah ne..

Bana kar Taj Mahal kisi shehenshah ne dolat se,
Hum ghareebon ki mohabbat ka mazaq urraya hai..

Un ki raatain katein gi kese..

Un ki raatain katein gi kese,
Jin pe naazil ishq hua hai..

Woh mujhe zindagi samajhta hai..

Woh mujhe zindagi samajhta hai,
Kya usey mera aitbaar naheen..


Wafaa ki arzuu karna..

  Wafaa ki arzuu karna,.. saffar ki justujuu karna,
Jo tum mayuus ho jao, to mujhse guftguu karnamujhseguftgu..

Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se..

Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se,
Ye woh wafaat hai jis ki khabar nahi hoti..

Jamaa tum ho nahi sakte, Mujhe manfi se nafrat hai..

Jamaa tum ho nahi sakte,
Mujhe manfi se nafrat hai,
Tumhein takseem karta hon,
To haasil kuch nahi aata,
Koi qaaida, koi kuliyaa,
Na laagu tujh pe ho paaye,
Zarab tujh ko agar doon to ,
Hisabon mein khallal aaye,
Ikaayi ko, dahaayi par,
Mein doon nisbat to kaise doon?
Na qaalib ki tarha tum ho,
Na al-jabra se lagte ho,
Umer ye katt gayi meri,
Tujhe humdam samjhne mein,
Jo hall tera agar nikle,
To sab kuch hi ulajh jaye,
Sifar thi ibtidaa teri,
Sifar hi ab talak tum ho,
Sifar zarb-e-sifar ho tum,
Na jis se kuch faraq aaye…

Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron..

Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein,
Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin..

Tumhari ankh ka aansu, Hamari ankh se niklaa..

Tumhari ankh ka aansu,
Hamari ankh se niklaa,
Shikayat ab bhi hai tumko,
Mohabbat hum nahin kartey..

Tum se bereham pe marney se…

Kya sunaatey ho ke hai hijar mein jeena mushkil,
Tum se bereham pe marney se to asaan ho ga..

Khushbuu ki tarah sheher mein aye..

Roz khushbuu ki tarah sheher mein aye Aslam,
Roz sheeshey ki tarah toot ke ghar jata hai..

Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi..

Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi,
Us ko rukhsat karke ghar lotay to andaaza hua..

Nazron se dil ko nidhaal karte ho..

Yeh jo nazron se dil ko nidhaal karte ho,
Kartey to zulm ho magar kamaal karte ho..

Tasawur

Hina lagae hai tasawur ma hum tumharay hathoon ma 
Daikhtay hain ka tum kitnay khobsoorat lagtay ho

Bahare hussan



Wo aieena ma daikh rahe the bahar e hussan 

Aya mera khayal to sharma ka reh gae

Zalim maheenay

Mera kya rishta November, December, January say
Sab maheenay Zalim hain ishq ka faqeeron par
 

Kahat


Pehlay kabhe dunya sa mohabbat nahe mange 
Ye kahat teray hijar ka dooran para hai 

Toot kar chahna

Dil na soocha tha ka ussay toot kar cahahin ga
Sach manoo tootay bhe bohat chaha bhe bohat 

Andheeri raat


Raat hai andheere bohat ik diya he jala day koi
Me barsoon sa jaga hoa hon mujha sula da koi 

Shabnam

Raat bhar girtay raha un ka daman par meray ansoo
Subhoo hotay he wo bolay ka ...................raat shabnam bohat the 

Dua


Nahe qabil teray laken ,unasib jo agar samjho
Yaad rakhna duaon ma yahe hai dua a dost

Dastak


Raat phir ay ge phir zehan ka darwaza par
Koi mehndi ma rangay hath sa dastak da ga 

Orat Zaat

Ma orat zaat tehri ma  masjid ja nahe sakte 
Tum to 5 waqt jatay ho Khuda sa maang lo mujjh ko 

Hina

Ye ajeeb sitam hai ka hina to lagyen gair
Or us ke daad chahain wo mujh ko dikha ka hath

Shooke nazar


Hum ne daikha faqat shoooq e nazar ke khatir 
Ye na soocha tha ka tum dil mautar jao gay 

Nateeja


 Zindagi bhar ka imtehan ka baad 
Wo nateeja ma kisi or ka nikla

Meray pass sa guzar kar mera hal tak na pocha

Meray pass sa guzar kar mera hal tak na pocha
Me ya kaisay man loon wo door ja kar roy ga

Qiamat

Wo meray pass say guzra na Dil dharka, na Lab larza
Qiamat hai khamoshe sa qiamat ka guzar jana

Maza ho jo mehshar me hum karen shikwa..

Bara maza ho jo mehshar* me hum karen shikwa,
Woh minnaton se kahen chup raho khuda ke liye..
(mehshar;qayamat,doomsday)

De raha hai qatal ki dhamkiyaan..

Yoon hi de raha hai qatal ki dhamkiyaan,
Hum jese zinda hon jo mar jaayen ge..

Shab-e-hijr mein soya kese..

Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese.
.

Tere hijar main aur mujhe kya karna hai..


Tere hijar main aur mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..

http://www.poetrywithlyrics.com/jagaave-saari-raina-lyrics-from-dedh-ishqiya-bygulzar/

ni sa, ni sa, ni sa
ni sa, ni sa, ni sa
ni sa, ni sa, ni sa
ni sa, ni sa, ni sa

sa ga ma pa
ni sa, ni sa, pa ni sa
sa ga ma pa
ni sa, ni sa, pa ni sa

sa ga sa pa dha re
ni sa, pa ni sa…

sa ga ma pa
ni sa, ni sa, pa ni sa
sa ga ma pa
ni sa, ni sa, ni sa

Jagaave saari raina
Jagaave saari raina
Jagaave saari raina
Nigode do naina
Nigode naina churaaye chaina

Jagave sari raina
Ho.. jagaave.. jagaave..
Jagaave saari raina
Nigode do.. naina…
Jagaave sari raina
Jagaave sari raina

Kaanon mein juhi ke jhumke lagai ke
Kaanon mein juhi ke jhumke lagai ke
Baahon mein motiyaan
Baahon mein motiyaan pehne sajai ke
Motiyaan sajai ke
Sajnaa kaa ke liye
Sajnaa kaa ke liye re sajnaa
Jagaave saari raina

[ Mridang Bol ]

Hmm mm… hmm mm….

Gaa ke talaiya mein tara gira re
Humka bulaaye hain woh, aisa laga re
Dekhiyo baahar darwaja kaa baja hai
Phir bhi hu ke aane ka dhadka sa laga re
Jhoote laage…
Jhoote laage hawaaon ke baina

Jagaave saari raina
Jagaave saari raina
Nigode do naina..
Nigode naina churaaye chaina
Jagaave.. jagaave..
Jagaave saari raina!

Kya Hoga Lyrics from Dedh Ishqiya by Gulzar

Re na re aa..
Aa na.. aa na re.. re… na…

Dil ka diya, shab bhar jala
Tere liye o piya.. aa..
Jaate huve (jaate huve)
Keh ke gaya (keh ke gaya)
Yaar vida alvida

Dil to diya hai
Jaan bhi de dein
Aur nazrana kya hoga
(Kya hoga.. kya hoga..)
Lau ko chhu ke laut aaya jo
Woh parwana kya hoga

Aa….
Lau ko chhu ke laut aaya jo
Woh parwana kya hoga

Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Sar pe falak hai
Falak pe sitaare (sitaare…)
Aji humne to dekhe hain aankhon mein saare
Ho.. palkein jhukaane se kya hoga
Palkein jhukaane se kya hoga

Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Dil ka diya, shab bhar jala
Tere liye o piya.. aa…

Kya kya bataayein ki kin kin zamanon mein
Dekha hai hum ne tumhein (o piya ji piya)
Rumaani mausam ki sab dastanon mein
Dekha hai humne tumhein (o piya ji piya)

O piya ji piya…
More piya ji
More piya ji
More piya ji, piya ji, piya ji piya
Piya ji, piya ji, more piya
Piya ji, piya ji, piya ji piya
More piya ji piya, piya ji piya

Jaana tu baarish ki aawaz mein
Kabhi chhaanv ke andaz mein
Kabhi udti hui dhoop mein
Kabhi khushboo ki badmaaz mein

Udte guzarte jo dariya ne dekha
Paani pe parchhayi sehla ke dekha
Ho katra ke ab humse kya hoga
Katra ke ab humse kya hoga..

Kya hoga, kya hoga, kya hoga..
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga
Kya hoga, kya hoga, kya hoga..
Kya kya ji, kya kya ji, kya hoga

Aa… aa… aa…
Aye zindagi uspe var ke aaye
Saare ehsaan utaar ke aaye.. aa
Humne taare utaare thhe lekin
Usne to aasmaan loot liya

Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..

Parda uthai ke, ghoonghat girai ke
Parda uthai ke, ghoonghat girai ke
Chain hamara loot liya..

Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Nazar uthaayi aur..
Nazar uthaayi aur, palkein gira ke loot liya..
Nazar uthaayi aur, palkein gira ke loot liya..

Salam-e-shauq ne kuchh is tarah se loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya

Na jaane khoon hua… aa..
Na jaane khoon hua, kitni aarzuon ka
Na jaane khoon hua.. kitni aarzuon ka
Labon pe paan ki surkhi laga ke loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya..

Wafa se loota kabhi kabhi
Aur kabhi jafaa se loot liya
Wafa se loota kabhi kabhi
Aur kabhi jafaa se loot liya
Sitam sitam hai, sitam sitam hai
Sitam, sitam, sitam, har adaa pe loot liya

Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, Loot liya bhai, loot liya…
Loot liya bhai, loot liya bhai
Loot liya bhai, Loot liya bhai, loot liya…

Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya
Loot liya bhai, loot liya bhai, loot liya

Yoon bhi hua hai mere ghar mein..

Yoon bhi hua hai mere ghar mein,
Mein naheen hota, woh hota hai..

Yeh dard-e-dil na geya..

Yeh dard-e-dil na geya, dard-e-janaan ki tarah,
Galay mein daal ke sab taweez dekhey hain..

Aao cherrain milaap ke qissay..

Aao cherrain milaap ke qissay,
Baat kartey ho kyun judaayi ki..

Barasti Barishon Se Bus Mujhe Itni C Nisbat He

Barasti Barishon Se Bus Mujhe Itni C Nisbat He
K Is Tarah ka Ik Mosam, Mere Andar B Rehta HeBarasti Barishon Se Bus Mujhe Itni C Nisbat He

Hosloon Ka Saboot Denaa Tha

Hosloon Ka Saboot Denaa Tha
Thokrain Kha K, Muskurana Para
Hosloon Ka Saboot Denaa Tha

Tum Ne Rasty Badal Liye Warna

Tum Ne Rasty Badal Liye Warna
Hum Tere Sath Door Tak Jatay
Tum Ne Rasty Badal Liye Warna

Mohabbat Banti Hai

Intezar” Siskiyan” Udaasi Aur Dard
Mil Jaayein Toh Mohabbat Banti Hai
Mohabbat Banti Hai

Ham Ne Dil Lagaya Tha

Ham Ne Dil Lagaya Tha…Barishon K Mosam Me
Ik Diyaa Jalayaa Tha….Barishon K Mosam Me
Kis Qadar They Nadaan Ham, Kaghzon K Pholon Se
Apna Ghar Sajaaya Tha…Barishon K Mosam MeHam Ne Dil Lagaya Tha

Mehfil Se Uthatey Hain Mujhe

Thokrain Maar Ke Mehfil Se Uthatey Hain Mujhe
Or Aik Paaaon Se … Daman Bhi Dabaa Rakha HeMehfil Se Uthatey Hain Mujhe

Aankhen Nikaltey Hain Wo

Dagh…! Aankhen Nikaltey Hain Wo
Un Ko De Do … Nikaal Kar Ankhen
Aankhen Nikaltey Hain Wo

Aik Hi Fun To Ham Ne Seekha He

Aik Hi Fun To Ham Ne Seekha He
Jis Se Miliye…Usey Khafa Kejiyee
Milte Rahiye Isi Tapaak Ke Sath
Bewafaai … Ki Intehaa Kejiyee
Aik Hi Fun To Ham Ne Seekha He

Maktab e Ishq Tak Aata Hoon

Maktab e Ishq Tak Aata Hoon … Chala Jaata Hoon
Hath Lafzon Ko Lagata Hoon … Chala Jaata Hoon
Me Muhabbat Ke Kisi Shehr Me Badal Ki Tarah
Rone Aata Hoon … Rulata Hoon … Chala Jata HoonMaktab e Ishq Tak Aata Hoon

Talkhiyaan mohabbaton mein palti hain..

Talkhiyaan mohabbaton mein palti hain,
Kuch mohabbat mein faasla rakhna..

Ujarr chuka hoon to kya hai..

Ujarr chuka hoon to kya hai, Us ka malaal kesa,
Mohabbaton mein urooj kesa, Zawaal kesa..

Saboot hai yeh mohabbat ki saada-lohi ka..

Saboot hai yeh mohabbat ki saada-lohi ka,
Jab us ne aitbaar kiya hum ne aitbaar kiya..

Dil-e-nadaan tujay huwa kaya hai..

Dil-e-nadaan tujay huwa kaya hai,
Aakhir iss dard kee dawa kaya hai,
Hum hain mushtaq aur wo byzaar,
Ya ilahe ye maajra kaya hai,
Main b moun may zaban rakhta huun,
Kash puchun K madda kaya hai,
Jab k tujh bin nahi koi majood,
Phir ye hangama ay khuda kaya hai…

muhabat ka koi poda lagana b zaroree hai..

muhabat ka koi poda lagana b zaroree hai,
ussay phir shak ke aandee say bachana b zaroree hai…

Kabhi neendain kabhi ankhon may paani..

Kabhi neendain kabhi ankhon may paani bhej dyta hai,
wo khud aata nahi apni nashaani bhej dyta hai …
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...