Showing posts with label udas shayri. Show all posts
Showing posts with label udas shayri. Show all posts

Tum sa

Tumhare dunya ma ,,Hum,, jaisa hazaroon hon gay
Magar hamare dunya me ,,Tum,, jaisa koi nahi

Behakna

Me pee kar nahe behakta, ussay daikh kar behakta hon
A alme waqt bata sharab haram hai ya wo

Amanat ma khyanat

Dil us ko diy ahai to wohe is may raha ga
Hum log amanat ma khayanat nahe kartay

Ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya

Ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya
phir aj kis ne sukhan hum se gayebana kiya
gam-e-jahan ho, rukh-e-yar ho ke dast-e-udu
salook jis se kiya hum ne aashiqana kiya
the khak-e-rah bhi hum log qahar-e-tufan bhi
saha to kya na saha aur kiya to kya na kiya
khusha ke aj har ik muddai ke lab par hai
wo raz jis ne hamen rand-e-zamana kiya
wo hilagar jo vafaju bhi hai jafakhu bhi
kiya bhi “faiz” to kis but se dostana kiya

Ye jo hai hukm mere pas na aaye koi

Ye jo hai hukm mere pas na aaye koi
is liye ruth rahe hain ki manaye koi
tak mein hai nigah-e-shauq khuda khair kare
samane se mere bachata hua jaye koi
hal afalaq-o-zamin ka jo bataya bhi to kya
baat wo hai jo tere dil ke bataye koi
aapane ‘dag’ ko muh bhi na lagaya afsos
us ko rakhta tha kaleje se lagaye koi
ho chuka aish ka jalasa to mujhe khat bheja
aap ke tarah se mehaman bulaye koi

Khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai

khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai

Pehli Nazar

Ek Bar Or Daikh Kar Azaad Kar Da Mujhe
Mohsin 
K Ma Aj Bhe Teri Pehli Nazar Ke Qaid Ma Hoon

Yun Sote-Sote Jaag Jana

Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi…

Maang To Loon

Maang To Loon Mein Tujhe Apni Taqdeer SE Mager                                                                                                                    
 Hum Jaisey Logon Key Laye Iss Zamaney Mein Ab Mo'ojazey Nahin Hote

Har Shaam Teri Yaad Mein

 Har Shaam Teri Yaad Mein Jalta Hua Daikhon                                                                                               Kab Tak Dil Betaab Machalta Hua Daikhon                                                                                                            Aanchal Kie Tarha Tann Se Lipatt Jaon Tere                                                                                               Aor Khudd Ko Teri Zaat Mein Dhaltta Hua Daikhon

Maut Milti Hai Na Zindgi Milti Hai

Maut Milti Hai Na Zindgi Milti Hai
Zindagi Ki Raaho Mein Bebasi Milti Hai
Rula Dete Hain Kyu Mere Apne
Jab Bhi Mujhe Koi Khushi Milti Hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...