Yoon tassawur mein barasti hain purani yadein..


Yoon tassawur mein barasti hain purani yadein,
Jese barsaat mein rim jhimm ka samaan hota hai..

Duaa koi bi rad nahi jati..


Duaa koi bi rad nahi jati,

Log itnizar hi nahi karte..

.....
،دعا  کوئی  بھی  رد  نہیں  جاتی 
لوگ  انتظار  ہی  نہیں  کرتے 
....

Kya us se chupaaon nahi ghair bhi itna..


Kya us se chupaaon nahi ghair bhi itna,
Kya us ko bataaon mera apna to nahi hai..

Dekhe hain hum ne hungaame mohabbat ke..


Dekhe hain hum ne hungaame mohabbat ke,
Aghaaz bhi ruswayi, anjaam bhi ruswaayi..
...
دیکھے  ہیں   ہم  نے  ہنگام محبّت  کے 
،آغاز  بھی  رسوائی ، انجام  بھی  رسوائی 
....

Kabhi le mujhse tu mere shab-o-roz ka hisaab..


Kabhi le mujhse tu mere shab-o-roz ka hisaab,
Phir dhoond un me se apne siwaa kuch aur..
،،،
،کبھی  لے  مجھ سے  تو  میرے   شب  و  روز  کا  حساب 
..پھر  ڈھونڈ  ان  میں  سے  اپنے  سوا  کچھ  اور 
.....

Iss daur ka ek barra fasaadi hoon main..


Iss daur ka ek barra fasaadi hoon main,
Jo sach lage bas wohi keh deta hoon main..
...
اس  دور  کا  ایک  بڑا  فسسادی  ہوں  میں 
 ... جو سچ  لگے وهی کھ  دیتا  ہوں  میں  
.....

Pyaas kehti hai ke ab rait nichorri jaye..


Pyaas kehti hai ke ab rait nichorri jaye,
Apne hisse me samandar nahi aney wala..
...
پیاس  کہتی  ہے  کے  اب  ریت  نچوڑی جائے 
...اپنے  حصّہ  مے میں  سمندر  نہیں  آنے  والہ 
.....

Ik ghazal Meer ki parhta hai parrosi mera..


Ik ghazal Meer ki parhta hai parrosi mera,
Ik nami si meri deewar mein aa jati hai..
...
،اک غزل  میر  کی  پڑھتا  ہے  پڑوسی  میرا 
...اک نمی  سی  میری  دیوار میں  آجاتی  ہے 
....

Duaa koi bi rad nahi jati..


Duaa koi bi rad nahi jati,
Log itnizar hi nahi karte..
'''
دعا  کوئی  بھی  رد  نہیں  ہوتی 
لوگ  انتظار  ہی  نہیں  کرتے 
....

Maut ne chupke se najaney kya kaha..


Maut ne chupke se najaney kya kaha,
Aur zindagi khamosh ho ker reh gayi..
...
موت  نے  چپکے   سے  نجانے  کیا کہا 
اور  زندگی خاموش  ہو  کر  رہ  گی 
.....

Meri deewangi nahi jaati..


Meri deewangi nahi jaati,
Ro raha hoon hansi nahi jati..

...
میری  دیوانگی  نہیں  جاتی 
رو  رہا  ہوں  ہنسی   نہیں  جاتی 
.....

Zamaaney ke sawaalon ko main hans kar taal doon..


Zamaaney ke sawaalon ko main hans kar taal doon lekin,
Nami ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad aatey ho..

Tum ko jab bojh lage mohabbat to bata dena..


Tum ko jab bojh lage mohabbat to bata dena,
Main chup chaap mohabbat say mukar jaunga..

Aik aahatt bhi nahin chorr saka jatey huye..


Aik aahatt bhi nahin chorr saka jatey huye,
Itna chup chaap barabar se utha kon tha woh..

Aaj kal sach puchiye to muskurata kon hai..


Aaj kal sach puchiye to muskuraata kon hai
Aaj kal sach puchiye to muskurata kon hai,
Khud’farebi hai faqat, hansta hansaata kon hai..

Aye mujhe khawb dikhaney waley logo sun lo..


Aye mujhe khawb dikhaney waley logo sun lo,
Mera dukh yeh hai koi khawb nahin bhoolta mein..

Awaaz mein thehrao tha, ankhon mein nami si thi..


Awaaz mein thehrao tha, ankhon mein nami si thi,
Aur keh raha tha mene sab kuch bhulaa diyaa..

Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de..


Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de,
Jo ranjj ki gharri bhi khushi se guzaar de..

Maan liya sach kehti ho, Mujh se mohabbat karti ho..


Maan liya sach kehti ho,
Mujh se mohabbat karti ho,
Meray khawbon ki duniya mein rehti ho,
Meri yaad ke aalam,
Door hila’aa mein,
Aksar takti rehti ho,
Din sochon mein katt jata hai,
Raat ko neend nahi aati,
Ek ek taara ginti ho,
Ye bhi sach hai,
Apney hussn ki barish se,
Meri zeest ka sehraa,
Jal-thal ker do ge,
Jeevan bhar sukh baanto ge,
Lekin…
Aye masoom larrki !!
Main bebass hoon,
Chahoon bhi to,
Sath tumhara de nahi sakta,
Mere dukh ki duniya tanhaa,
Mere sukh ki bat alag hai..
Kis umeed pe, kis bharosey per,
Mera daaman thaamo gi,
Mere haath ki tooti-phooti,
Tirchi lakirein ghaur se dekho,
In mein tumhara naam nahi hai..

Koi majburiyan hon gi jo wafa kar na paya..


Koi majburiyan hon gi jo wafa kar na paya,
mere mehboob ko na shamil karo be-wafao’n me..

Dard mene kamaa liye kaafi..


Dard mene kamaa liye kaafi,
Zabt ki abb zakaat wajib hai..

Jo uski chaah me guzri woh zindagi hai meri..


Jo uski chaah me guzri woh zindagi hai meri,
Uske baad to guzaara hai zindagi ne mujhey..

Gham mein bhi khushi na hui..

Teri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui,
Woh zindagi to mohabbat ki zindagi na huiii…
...
تیری  خوشی  سے  اگر  غم   میں  بھی  خوشی  نہ  ہوئی 
..وہ  زندگی  تو  محبّت  کی  زندگی  نہ  ہوئی 
....

Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de..


Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de,
Jo ranjj ki gharri bhi khushi se guzaar de..

Din nahin raat nahin subah nahin shaam nahin..


Din nahin raat nahin subah nahin shaam nahin,
Reh gayi aik “nahin”, “haan” ka kahin naam nahin..
....
دن  نہیں  رات  نہیں  صبح  نہیں  شام  نہیں 
...رہ  گی  ایک ،، نہیں ،، ہاں،،  کا  کہیں   نام  نہیں 
......

Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai..


Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai,
Khushii se bolnaa jis shakhss ka mamool ho jaye..

Kitni dilkash hai khamoshi teri..


kitnidilkashhaikhamoshi_8767_1234_temp
Kitni dilkash hai khamoshi teri,
Meri sari baten fazool hon jese..

Ishq ne tere to sabhi baal nikaal liye..


Ishq ne tere to sabhi baal nikaal liye,
Muddat se aarzuu thi seedha kare koi..

Sari zindagi jo rakha rishton ka bharam..


Sari zindagi jo rakha rishton ka bharam,
Koi apne siwaa magar apnaa naheen hota..

Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon..


Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhhal de koi..

Kisi bewafa ki khaatir yeh junoon Faraz kab tak..


Jo tumhe bhool chuka hai
Kisi bewafa ki khaatir yeh junoon Faraz kab tak,
Jo tumhe bhulaa chuka hai usey tum bhi bhool jao..

Woh mera ho kar bhi mujh se mehroom raha..

Woh mera ho kar bhi mujh se mehroom raha,
Koi kya mujh sa bhi jeet ke haara ho ga..
...
وہ  میرا   ہو  کر  بھی مجھ  سے  محروم  رہا 
کوئی  کیا  مجھ  سا  بھی  جیت   کے  ہارا  ہو گا 
.....

Wohi ranjishen, wohi hasrtein..

wohiranjishen
Wohi ranjishen, wohi hasrtein, na hi dard-e-dil mein kami hui,
Hai ajeeb si meri zindagi, na guzar saki na hatam huyi..

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota..

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota,
Diboyaa mujhe ko hone ne, na hota mein to kya hota..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...