Showing posts with label Romantic Shayari. Show all posts
Showing posts with label Romantic Shayari. Show all posts

Takht Nasheen

Aap agar takht nasheen hain to bari baat nahi
Dhool bhe ur kar bulandi par pohanch jate hai

Yeh jawani gulaab ho jaye..

Yeh jawani gulaab ho jaye,
Muyassar agar sharab ho jaye,
Isi madhosh halat mein farishto,
Aao phir aaj hisaab ho jaye..

Aaj mosam

Aaj mosam mein kuch ajeeb si baat he,
bekabu se hamare jazbat he,
ji cahta he tumko chura le tumhi se,
par mummy kehti he ki chori karma buri baat he

Yeh jawani gulaab ho jaye..

Yeh jawani gulaab ho jaye,
Muyassar agar sharab ho jaye,
Isi madhosh halat mein farishto,
Aao phir aaj hisaab ho jaye..

Shayari on Beauty in Hindi

Tere Hasin Tasavur Ka Aasra Lekar
Dukhon K Kante Main Sare Samet Leta Hun.
Tumara Naam He Kafi H Rahat-E-Jaan Ko
Ghamon Ki Taiz Hawaon Ko Morr Deta Hn.

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein, Itna Tu Kiya Hota
Jo Haath Jiger Per Hai, Woh Dast-E-Dua Hota

Ik Ishq Ka Gham Afat Aur Uss Oe Yeh Dil Afat
Yan Gham Na Diya Hota, Yan Dil Na Diya Hota

Nakaam Tammana,Dil Iss Soch Mein Rehta Hai
Yun Hota Tu Kya Hota, Yun Hota Tu Kya Hota?

Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale

chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale

teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale

har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale

din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
bhale chin lo mujhase meri javani
magar mujhko lauta do bachpan ka savan
wo kagaz ke kashti, wo barish ka pani
muhalle ke sabase nishani purani
wo budhiya jise bache kahate the nani
wo nani ke baton mein pariyon ka dera
wo chahare ke jhuriryon mein sadiyon ka phera
bhulaye nahi bhool sakata hai koi
wo choti si raten wo lambi kahani
kadi dhup mein apne ghar se nikalana
wo chidiya wo bul-bul wo titali pakadana
wo gudiya ke shadi mein ladana jhagadana
wo jhulon se girna wo gir ke sambhalana
wo pital ke challon ke pyare se tohafe
wo tuti hui chudiyon ke nishani
kabhi ret ke unche tilon pe jana
gharonde banana banake mitana
wo masum chahat ke tasvir apni
wo khwabon khilaunon ke jagir apni
na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khubasurat thi wo zindagani

Sanson Ki Zarorat


Meri Chahatain Tumse Alag Kab Hain

Dil Ki Batain Tumse Chupi Kab Hain
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai

Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai


Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai
Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai
Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele Magar
Phir Bhi Zaroorat Inn Ki Har Kisi Ko Hoti Hai

Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana


Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge

Rafta Rafta

Us Ne Mehsoos Bhi Na Honey Diya
Yun Kahani Ka Rukh Moor Diya
Milney Julney Main Ki Kami Pehley
Phir Rafta Rafta Hamein Hi Choor Dya

Pehli Muhabbat Yaad Aati Hai. . !

Door ufaq ki tareeki mein
Bijli jab bhi lehraati hai
Shama jalatay lamhay aksar
Kamray k ghup andheray mein
Pehli muhabbat yaad aati hai
Autograph talab karny jab
Koi haseena ghar aati hai
Barri barri aankho’n se jab wo
Dekh k mujh ko sharmati hai
Maazi mein kho jata hoon
Chota sa ho jata hoon
Pehli muhabbat yaad aati hai
Shaam-e-khizaa’n jab tanha tanha
Baagh mein sair ko jata hoon
Kisi udas larki ko jab
Bench pe tanha paata hoon
Janay kyun yaad aa jata hai
Aik khizaa’n ki sham ka manzer
Jab hum dono juda huay they. . !

Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha. .

Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha
Tae kiya to sadiyon ki musafat thi
Ujray to hum they is ishq mein
Chehray pe us k saray zamanay ki thakan thi
Muddat baad usey pareshan dekha hai
Aansuon mein doobi na janay kin soch’on mein magan thi
Tum to mujhy faramosh kar gaye they lekin
Tujhy faramosh karny mein ik sadi lagi thi
Aaj gali mein kah raha tha koi k
Wo chorr gai hai jisy ‘Gul’ ko inteha ki lagan thi. .

Mujhy Us Se Muhabbat Hai. .

Wo kehta tha!
Tum aao sheher mera ghaur se, nazdeek se dekho
Yahan k log aur un ki saqafat. . .aur
Kisi ko paa k khonay ki haseen lazzat
Yahan ka rehna, basna, bolna, hansna
Muhabbat k anokhay roop
In ki chaa’on in ki dhoop tum dekho!
Yahan k jazbay boht sachay, boht achay boht masoom hoty hain
Mery dil ne kaha aao samander choo k dekhaingy
Wahan ja kar laga wo sheher mera hai
Wahan sahil bhi mera us pe likhy khuwab mery hain
Samander ki sabhi mauj’on pe mery aks thehery hain
Wo saray log mery hain sabhi manoos chehray hain
Wahab mitt, hawain, phool, pathar tak lagy apny
Magar ik ajnabi c,daimi dil ko kasak is shakhs ne bakhsi
jo aksar tang karti hai, jo mujh se jang krti hai
Boht socha k aisa kyun hua, kaisy hua aakhir
Tou dil ne holay holay se kaha ye sab to hona tha
Tumhain us shakhs se milna, usey pana, khona tha
Azal se is tarha hota chala aya
Anokha bhaid hai is ko kisi ne kab, kahan paaya
Bus itni baat tum ko yaad rakhni hai
Tumhain us se muhabbat hai
Laga chaar’on taraf fitrat pukaar uthi
Tumhain us se muhabbat hai, Tumhain us se muhabbat hai
Mery dil ne mery honton ne bhi iqraar ki manzil choo kar
kah diya Yak Dam
Mujhy Us se Muhabbat Hai
MUJHY US SE MUHABBAT HAI. . !

Muhabbat hai chubhan dil ki. . !

Muhabbat sirf lifazi nahi, ye is se barh kar bhi boht kuch hai
Muhabbat hai chubhan dil ki. . !
kisi ko kab, kahan ye raas hoti hai
Magar phir bhi
Muhabbat khaas hoti hai
Musalsal intehaa’n hai ye
Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar
Nateejay ki kabhi parwa nahi karty
muhabbat dard hoti hai magar ye khud bht be-dard hoti hai
Bicharna hi agar likha hai muqaddar mein
Tou is mein dair kahay ki?
Chalo is pal isi lamhay bichartay hain . . !

Kisi Lerki Say Mat Kehna

Kisi Lerki Say Mat Kehna
Kay Us Say Pyar Kertay Ho
Ager Ek Bay Dhayani Main
Yeah Iqrar Ker Bethay
Kisi Say Pyar Ker Bethay
To Phir Wadoon Ki DoRoon Main
Ualajh Ker Toot Jao Gay
Tumharay Pyar Ka Us Ko
Ager Ehsaas Ho Jayay
To Ho Sakta Hai Tum Us Ka
Rang-O-Roop Ban Jao
Mohabbat Kay Safar Main Shayad
Aaisa Morr Aajayay
Kay Tum Narazgi Ka
BerMila Izhaar Ker Bethay
Koi Inkaar Ker Bethay
To Yeah Samjhoo Koi Sheesha,
Koi Dil Toot Jaye Ga
Kay In Kay Dil Bohat Nazuk,
Bohat Kumzoor Hotay Hain
Kisi Lerki Kay Dil Ka Tootna Bhi
Mout Hoti Hai
Kisi larkii se na kehna
K Us say Pyar karte ho

Teri palkon main rukna hai

Teri Palkon main rukna hai raat bhar ke liye

Main to ik khwab hun, Subha ko chala jaon ga…!



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...