Kisi ka ishq kisi ka khayal they hum bhi..

Kisi ka ishq kisi ka khayal they hum bhi,
Gaye dinon mein bohat ba-kamaal they hum bhi..

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain..

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Akssar auakaat bharey sheher ke sanattay mein..

Akssar auakaat bharey sheher ke sanattay mein,
Is qadar zor se hansta hoon ke dar jata hoon..
aksaraukaatbharesheher_8767_1234_temp

Ronay se aur ishq mein be-baak ho gaye..

Ronay se aur ishq mein be-baak ho gaye,
Dhoye gaye hum itney ke bass paak ho gaye..

Rota hai khilonay ke liye..

Rota hai khilonay ke liye, chupp nahin hota,
Dushman ka yeh bacha, mere bachey ki tarah hai..

Suuraj ne mujhe aur bhi tanha kar diya..

Doob kar suuraj ne mujhe aur bhi tanha kar diya,
Mera saaya bhi alag ho geya mere apnon ki tarah..

Anjam Judai Nikla

Anjam Judai Nikla
Be Wafa Waqt Tha, Tum Thay, Ya Mera Muqadar
Bat Itni Hai Ka Anjam Judai Nikla

Dil To Bas Adatan Dharakta Hai

Dil To Bas Adatan Dharakta Hai
Zindgi Kab Ki Khamosh Ho Gai
Dil To Bas Adatan Dharakta Hai

Yoon hi ankhon mein aaa gaye ansu.

Yoon hi ankhon mein aaa gaye ansu,
Jayiye aap, koi baat naheen..
Dagh

Mere wajood ki jageer us ne mangi hai..

Mere wajood ki jageer us ne mangi hai,
Ajab khawab ki tabeer us ne maangi hai,
Us ki qaid main rehti hoon main pehle bhi,
Na janay phir kyon zanjeer us ne mangi hai
Gumaan hota hai wo bhool sakta hai mujhe,
Kyon ke aj meri tasveer us ne mangi hai,
Mere khuda mujhe us ke naseeb main likh de,
Ke mujh se meri taqdeer us ne mangi hai..

Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya.

Kuch aansu, kuch khushiyan de ker ttaal geya,
Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya,
Kon jaaney ke kal ka samaa kesa ho ga,
Ab tak to kal sa hi hai sab haal geya..

Barish Ki Barasti Boondon Ne



Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par ~
Mehsus Hua Tum Aaye Ho, Andaaz Tumhare Jesa Tha ~

Hawa K Halke Jhonke Ki Jb Aahat Payee Khirki Pr ~
Mehsus Hua Tum Guzre Ho, Ehsaas Tumhare Jesa Tha ~

Mein Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Haathon Pr ~
Aik Sard Sa Phir Ehsaas Howa, Wo Lams Tumhare Jesa Tha ~

Tanha Main Chala Phir Barish Me, Tab Ek Jhonke Ne Saath Diya ~
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Wo Saath Tumhare Jesa Tha ~

Phir Ruk Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Ahat Bhi ~
Main Samjha Mujhe Tum Chorr Gaye, Andaz Tumhare Jesa Tha

Main Aurat Zaat Thehri Hun,,,,,!




Main Aurat Zaat Thehri Hun,,,,,! 
Mujhy Masjid Nahin Jaa'ez... 


Tum 5 waqt Jaty Ho, 
KHUDA se Mang Lo Mujh Ko!

kash main teray haseen hath ka kangan hota

kash main teray haseen hath ka kangan hota
tu baray piyar say chao say baray man kay sath
apni nazuk see kalaee main charhaty mujh ko
aur betaby say furqat kay khiza lamhon main
tu kisi soch main doby jo ghumaty mujh ko
main teray hath ki khushbu say mehak sa jata
jab kabhi mood main akar mujhay chuma karti
teray honton ki main hiddat say dehak sa jata
rAat ko jab bhi tu nindo kay safar pay jati.
marmarin hath ka eik takiya banaya karti
main teray kan say lag kar kai batain karta
teri zulfon ko teray gal ko chumaa karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri roh kay gulshan main mehakta rehta
main teray jism kay angan main khanakta rehta
kuch nahin tu yehi benam sa bandhan hota
kash main teray hansee hath ka kangan hota

Ay ishq Tujhay khudaa ka wasta,



Ay ishq Tujhay khudaa ka wasta, 

Ya yaar de Ya maar de…!!

Eid k Chand Tujhe is Shart pe Dekhon Gi.





Eid k Chand Tujhe is Shart pe Dekhon Gi.


Tujh Se Pehle Agar Mera Pia lota To...

Eid k Roz Bhi Majboor The Taqdeer Se Hum Full Ghazal.





Eid k Roz Bhi Majboor The Taqdeer Se Hum.

Ro paray Mil k Gale Aap ki Tasveer Se Hum.

Mera Jo Kuch Hai Tera Hai.
Tere liye Hi To Hai.

Tu Agr Jaan Bhi Mangay To Tujhe dete Hum.

Hum Ne Kia kia na kiya Pyar me o Mere Sanam.

Phir b Mehroom Rahe Teri Wafaon se Hum.

Teri yaadon Ne Shama Ban k jalaya Hai Mujhe.

Parwano ki Tarha is Aag me jalte Rahe Hum.

Tum Ne kaha Tha loat Aaon Ga Eid py.

Eid ka Din Hai Loat Aao.
Warna Mar jayen Ge Hum.

Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge





Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge

Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochenge

Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin

Kon hamara apna hai , waqt mila to sochenge

Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo

Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochenge

Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein

Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge

Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki

Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochenge

Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara.



Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara. 

Tum Zindagi thay uski wo pyar tha Tmhara.

kehte the Tum Mujhe ye main Jaan hn Tumhari.

Tum Chandni ho meri Main Chand hn Tumhara.

Hum sath hi Jeeyen ge. Hum sath hi Marain ge.

Tujhe yaad bhi hai Humdam Wada tha ye Tumhara.

Tum chor gaye Mujh ko. Dharkan me Tum basay ho.

Ye Dil dharakta hai to leta hai naam Tumhara.

Main Ourat Zaat Thehri Hon. Full Ghazal


Main Ourat Zaat Thehri Hon
Mujhe Masjid Nahi Jaa'yez.*
.
Tum 5 waqat Jatay Ho
KHUDA se Maang Lo Mujhe Ko.*
.
Mein Duniya Mein Tumhare Hi leye Ai Hon.*
.
Tujhe Main Mil Na Paon To Chura Le Zamane Se Mujh Ko.*
.
Mein Teri Yaad Main Roti Hon Tujhe Hi Yaad Krti Hon.*
.
Kabhi To A K Mil Jao Tera Har pal Intzar Hai Mujh Ko.*
.
Gire Jab Shaakh Se Toot K Sookhe Pate.*
.
Keh Tere Bichar jane Ki Wo Lamhe Rolati Hain Bohat Mujh Ko.*
.
Tera He Hath Thamo Gi Agr Tum Laot Aye To.*
.
Nahe Aye To Khuda Se Ye Dua Mangongi K Ajaye Ab Maot Mujh Ko.*
.
Main Ourat Zaat Tehri Hon Mujhe Masjid Nahe Jayaiz.*
.
Tum 5 Waqt jate Ho Khuda Se Mang Lo Mujh Ko..*

Aana to chahiye tha usey aaj shab zaroor

Aana to chahiye tha usey aaj shab zaroor,
Aey Qalb*-e-beqarar, na aye to kya karoon..
(qalb;heart)
Addam

Kab torro ge hijar ke bandhan, Kab tak parda’dar raho ge..

Kab torro ge hijar ke bandhan, Kab tak parda’dar raho ge,
Kab is dil ke saaz mein sajan, tum ban ke jhankar raho ge,
Kab tak behlao ge, meri bhooli bhatki nazron ko,
Kab tak meri raah mein ban kar sheeshey ki deewar raho ge,
Subah ka madham taara ban kar, mein aaaon ga tum se milney,
Bolo kya manzoor hai tum ko, bolo kya tayyaar raho ge,
Is baagh-e-hasti mein sab ke apne apne manssab hain,
Hum phoolon ka rang rahen ge, Tum hanjjar ki dhaar raho ge,
Jaan-e-tammana! apne Saghir ko batlao, ankh mila kar,
Us ke haq mein akhir kab tak, Kafir ka inkaar raho ge..

Beqaraari bhi hai, qaraar bhi hai..

Beqaraari bhi hai, qaraar bhi hai,
Gham ganwaar bhi hai, nagwaar* bhi..
(nagwaar;intolerable, insufferable)
Safia Shameem

Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho..

Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho,
Hum-sukhan koi na ho, aur hum-zubaan koi na ho,
Parriye gar beemar to koi na ho teemar’daaar*,
Aur agar mar jaayiye to noha-khuwaa’n* koi na ho..
(teemar’daaar;caretaker, noha-khuwaa’n;noha reciter)

Hadh-e-adab ki baat thi..

Hadh-e-adab ki baat thi, hadh-e-adab mein reh gayi,
Maine kaha main chalaa, us ne kaha ke jaayiye..

Bicharrne waley, Chale jo ho to, bataa ke jao..

Bicharrne waley,
Chale jo ho to bataa ke jao,
Ke kitni shaamain udaas ankhon mein kaatni hain,
Kitni subhen akele pan mein guzaarni hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke kitne suraj,
Azaab raston ko dekhna hai,
Ke kitne mahtaab sard raton ki wusat’on se
nikalney hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke chand raton mein
Waqt kese guzaarna hai,
Khamosh lamhon mein tujh ko,
Kese pukaarna hai,
Bata ke jao ke kitne lamhe,
Shumaar karne hain hijrton ke,
Ke kitne mausam judayion mein,
Guzaarney hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke panchiyon ne,
Akele pan ka sabab jo pucha,
To kya kahoon ga,
Kisi ne rastey mein rok kar,
Yoon mujhse poocha,
Ke pichle mausam main saye saye,
Jo ajnabi tha kahan geya hai,
To kya kahoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke mein kis se,
Tera gilla karoon ga,
Bicharr ke tujhse habib,
Kis se milla karoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke ankh barsi,
To kon moti chunaa kare ga,
Udaas lamhon mein,
dil ki dharrkan suna karega,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke mausamon ko,
Payyaam dene hain ya nahin,
Falak ko, taaron ko, Jugnu’on ko,
Sallam dene hain ya nahin,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke kis pe hai aitbaar karna,
Ke kis ki baton pe be’niazi,
Ke silsley ikhtyaar karna,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke ab rawayion ki
Chaal kya ho,
Jawab kya ho, Sawaal kya ho,
Urooj kya ho, Zawaal kya ho,
Nigaah rukhsaar, zulf chehra,
Niddhaal kya ho,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke meri halat pe,
Chandni khilkhila pari to kya karon ga,
Bata ke jao ke meri soorat pe
Teergi muskura parri to,
Mein kya karoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke tumse bicharr ke,
Yeh waqt kese guzaarna hai,
Bicharr ke tum se yeh waqt,
Kese guzaarna hai,
Ujaarna hai, nikhaarna hai,
Badan ko kitna sanwaarna hai,
Bata ke jao,
Bicharrne waley,
Chale jo ho to,
bataa ke jao,
bataa ke jao..

Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota.

Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota,
Jo hath jigar per hai, woh dast-e-dua hota,
Ik ishq ka gham aafat aur is pe yeh dil aafat,
Yeh gham na diya hota ya dil na diya hota,
Nakaam-e-tamanna dil, is soch mein rehta hai,
Yooon hota to kya hota, yoon hota to kya hota,
Umeed to bandh jati, taskeen to ho jati,
Vaada na wafaa kartey, vaada to kiya hota,
Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota..
Chiragh Hassan Hasrat

Yeh mujhe chain kyun nahin parrta..

yehmujhechain
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan mein kya ?

Aansuyon mein nihaayi hui hai raat..

Phir aaj aansuyon mein nihaayi hui hai raat,
Shayed hamari tarah hi sataayi hui hai raat.

Teri Rah Pe Bicha Ke Aankhe Ham..

Teri Rah Pe Bicha Ke Aankhe Ham,
Neend Ka Ghar Ujaar Baithey Hain
..

Maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti.

Yeh maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti,
Na tujhe qaraar hota, na mujhe qaraar hota..
Dagh

Tujhe rona hai to jee khol ke ro ley..

Aye dil! Tujhe rona hai to jee khol ke ro ley,
Duniya se na barrh kar koi veeraana mileyga..
Waheed Ullah Abadi

Narm-o-naazuq hai gulaabon jaisa.

Narm-o-naazuq hai gulaabon jaisa,
Woh hai naazuk mere khawbon jaisa..
Johar Syedi

Hamara dosh hai mana

Hamara dosh hai mana
Tum'hein apna jo hai jana
Tumharey bin ye jewan marg jesa hai
Hum'ein janat ka har gosha bhi goya narm jesa hai
Haqeqat mein agar socho
Muhabbat mein ana ka kam hi kia hai
Chalo ab man bhi jao
Key tum ko hum manatey hein
Hum'ein tum sey muhabbat hai

Jee to ata hai ulat dein un key chehray sey niqab..

Jee to ata hai ulat dein un key chehray sey niqab..
Hosla kertay hein per hosla hota nahi'ein..

Jo is taraf sey guzar ho to pochtey ana.!

Jo is taraf sey guzar ho to pochtey ana.!
Koi kiran meray hisay ki mehtab mein hai..

Jo galey milo gey tapak sey koi hath bhi na milaye ga..

Jo galey milo gey tapak sey koi hath bhi na milaye ga..
Naye mizaj ka shehar zara fasley sey mila karo!

Janey kis bat key log kia nikal’ein mani..

Janey kis bat key log kia nikal'ein mani..
Apney honth'on pey tabasum na sajaye rakho.!!

Jin pey hota hai bohat dil ko bharosa Tabish.!!

Jin pey hota hai bohat dil ko bharosa tabish.!!
Waqt paney pey wohi log dhoka detay hein ..

Sabot hai ye muhabbat ki sada lohi ka..

Sabot hai ye muhabbat ki sada lohi ka..
Jab is ney wada kia hum ney aitbar kia.!

Nazar Jab Usse Milti Hai

jpg
Nazar Jab Usse Milti Hai , 
Mai Khud Ko Bhool Jaata Hoon .. 
Bas Ek Dhadkan Dhadakti Hai , 
Mai Na Jaana Kaha Kho Jaata Hoon .. 
Mai Aksar Yahi Kehta Hoon 
” Mujhe Pyar Hai Tumse “ 
Magar Jab Ye Kehta Hoon ,
Duniya Bhool Jaata Hoon .

Ik Talluq Ko Bikarne Se

Ik Talluq Ko Bikarne SE Bachane Ke Liye
Mere Din Raat Guzarte Hain Adaakari Me
Wo Kisi Or Dawa Se Mera Karta He Ilaaj
Mubtalab Hoon Me Kisi Or Hi Beemari Me
4 Line Hindi Poetry, 4 Line Poetry, 4 Line Poetry in Urdu, Best Urdu Poetry, Four Line Love Poetry, Four Line Poetry, Four Line Romantic Poetry, Four Lines Sad Poetry, Fresh Four Lines Poetry, Hindi Four Lines Poetry, Hindi Poetry, Hindi Shayari, Shero Shayari In Urdu

Qematen Gir Gaen Muhabbat Ki

2 Line Urdu Poetry, Famous Sad Poetry, Fresh Sad Poetry, Heart Touching Sad Poetry, Hindi Sad Poetry, Hindi Shayari, Latest Sad Poetry, Romantic Sad Shayari, Sad Ghazals, Sad Love Poetry, Sad Poetry, Sad Shayari, Sad Urdu Shayari, Shero Shayari In Urdu, Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry
Qematen Gir Gaen Muhabbat Ki
Aao … Koi Or Karoobar Karen

When I Was With You

I could not tell you if I loved you the first moment I saw you, or if it was the second or third or fourth. But I remember the first moment I looked at you walking toward me and realized that somehow the rest of the world seemed to vanish when I was with you.

Sentimental And Romantic Person

I’m not sentimental–I’m as romantic as you are. The idea, you know,
is that the sentimental person thinks things will last–the romantic
person has a desperate confidence that they won’t.

Tender Curiosity

I wasn’t actually in love, but I felt a sort of tender curiosity.

A Distant Star

Sometimes when I look at you, I feel I’m gazing at a distant star.
It’s dazzling, but the light is from tens of thousands of years ago.
Maybe the star doesn’t even exist any more. Yet sometimes that light seems more real to me than anything.

Romance Is The Glamor

Romance is the glamor which turns the dust of everyday life into a golden haze.

Zulmat-e-shab ko sitaaron se sanwaara hum ne..

Zulmat-e-shab ko sitaaron se sanwaara hum ne,
Kitni raton ko tujhe uthe ke pukara hum ne,
Jab kabhi hath se umeed ka daaman choota,
Le liya aap ke daaman ka sahara hum ne,
Yoon to dunya bhi mukhaalif hai hamari warna,
Rukh badaltey huye dekha hai tumhara hum ne,
Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir,
Jo na karna tha kiya woh bhi ganwaara hum ne,
Ae Taqi, Gham nahin yeh jaan rahe ya na rahe,
Paa liya un nighaaon ka ishaara hum ne..

Zikr jab chirr geya qayamat ka..

Zikr jab chirr geya qayamat ka,
Baat pohanchi teri jawani tak..

Dil to mera udaas hai..

Dil to mera udaas hai Nasir,
Sheher kyun saayen saayen karta hai.

Hall nikaala hai yeh udaasi ka..

Hall nikaala hai yeh udaasi ka,
Ab mukammal udaas rehta hoon..
Saadullah Shah

Toot kar bhi dharrakta rehta hai..

Toot kar bhi dharrakta rehta hai,
Dil sa bhi koi wafaadar na ho.
.

Sochta hoon woh jahaan kesa hai..

Sochta hi rehta hoon woh jahaan kesa hai,
Doosri taraf se woh aasmaan kesa hai..

Mere samney churaa liya geya mujhe..

Na jane kin adaaon se lubhaa liya geya mujhe,
Qateel mere samney churaa liya geya mujhe,
Kabhi jo un ke jashn mein seyaahiyan bikhar gayin,
To roshni ke vaastey jalaa liya geya mujhe,
barah-e-raast raabta na mujhse tha qabool unhe,
Likhaa ke khat raqeeb se bulaa liya geya mujhe,
Jab un ke deed ke liye qitaar mein kharra tha mein,
Qitaar se na jaane kyun hattaa liye geya mujhe,
Mein rondney ki cheez tha kisi ke paon se magar,
Kabhi kabhi to zulff mein sajaa liya geya mujhe,
Sawaal tha ke wafaa hai kya, jawab tha ke zindagi,
Qateel pyar se galey laga liya geya mujhe..

Kissi ke vaadey ki laaj to reh jaye..

Kissi ke vaadey ki laaj to reh jaye,
Khuda kare ke meri zindagi wafa na kare..

Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh..

Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh,
Aur yeh bhi dekhte hain koi dekhta na ho..

Aayina dekh kar tassali hui..

ayinadekhkar
Aayina dekh kar tassali hui,
Hum ko is ghar mein janta hai koi..

Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz..

Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz,
Gila to tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhayi ho..

Dard ho dil mein to dua kijiye..

Dard ho dil mein to dua kijiye,
Dil hi jab dard ho to kya kijiye..

Mujhe bhi toot jana tha….

Woh pathar tha jese aur mein sheeshay ki maanind,
Usey thokar lagana thi, mujhe bhi toot jana tha..

Tum aaye ho ayaadat ko to itni arzz hai..

Tum aaye ho ayaadat ko to itni arzz hai meri,
Ke dil mein hain kis qadar daagh-e-hijraan dekhte jao..
Zauq Qureshi

Jamaa tum ho nahi sakte, Mujhe manfi se nafrat hai..

Jamaa tum ho nahi sakte,
Mujhe manfi se nafrat hai,
Tumhein takseem karta hon,
To haasil kuch nahi aata,
Koi qaaida, koi kuliyaa,
Na laagu tujh pe ho paaye,
Zarab tujh ko agar doon to ,
Hisabon mein khallal aaye,
Ikaayi ko, dahaayi par,
Mein doon nisbat to kaise doon?
Na qaalib ki tarha tum ho,
Na al-jabra se lagte ho,
Umer ye katt gayi meri,
Tujhe humdam samjhne mein,
Jo hall tera agar nikle,
To sab kuch hi ulajh jaye,
Sifar thi ibtidaa teri,
Sifar hi ab talak tum ho,
Sifar zarb-e-sifar ho tum,
Na jis se kuch faraq aaye…

Roz aamil badalta hoon..

Roz aamil badalta hoon,
Tera aasaib magar nahi jata..

Tu jo itna udaas hai Nasir..

Tu jo itna udaas hai Nasir,
Tujhe kya ho geya bata to sahi..

Na jane phir bhi kyun acha laga ha..

Na jane phir bhi kyun acha laga hai,
Agarchey zakham bhi gehraa laga hai,
Koi bichrra hai jaaney phir kisi se,
Suna hai aaj phir mela laga hai,
Raha haayel hamarey darmeyaan jo,
Mujhe woh faasla acha laga hai,
Main kyun na saadgi se us ko keh doon,
Mujhe woh shakhss kyun pyaara laga hai,
Unhe jiss baat ki parwaah nahin hai,
Mujhe us baat ka dharrka laga hai,
Ghiraa betha hai jo yaaron mein Khawar,
Mujhe woh aadmi tanhaa laga hai..
R N Khawar

Achey lage jo tum, so hum ne bata diya..

Achey lage jo tum, so hum ne bata diya,
Nuqsaan yeh hua, ke maghroor ho gaye tum..

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...