Showing posts with label Daya Shanker Naseem Poetry. Show all posts
Showing posts with label Daya Shanker Naseem Poetry. Show all posts

Firaq-E-Dida Hun Main Vasl-E-Yar Baqi Hai

Kabhi Mujh Ko Sath Lekar, Kabhi Mere Sath Chal Kar
Vo Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Kar

Huye Jis Pe Meharaban Tum Koi Khushnasib Hoga
Meri Hasraten To Nikalin Mere Ansuon Main Dhal K

Teri Zulf-O-Rukh K Qurban Dil-E-Zar Dhundta Hai
Vahi Champai Ujale Vahi Surmai Dhundalake

Koi Phul Ban Gaya Hai Koi Chand Koi Tara
Jo Chirag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Main Jal K

Mere Dosto Khudara Mere Sath Tum Bhi Dhundo
Vo Yahin Kahin Chupe Hain Mere Gam Ka Rukh Badal K

Teri Bejhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila
Ye Nagar Hai Ainon Ka Yahan Sans Le Sambhal K

Firaq-E-Dida Hun Main Vasl-E-Yar Baqi Hai

Firaq-E-Dida Hun Main Vasl-E-Yar Baqi Hai
Khizan Rasida Chaman Ki Bahar Baqi Hai

Hava To Kahti Hai Saqamade Bahar-E-Chaman
Sada-E-Guncha-E-Vahadat Hazar Baqi Hai

Buton K Qahar Se Ham Ko Maqam-E-Yas Nahin
Ummid-E-Rahamat-E-Paravar-Digar Baqi Hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...