Showing posts with label Faiyaz Hashmi Romantic Poetry. Show all posts
Showing posts with label Faiyaz Hashmi Romantic Poetry. Show all posts

Tasvir Teri Dil Mera Bahala Na Sakegi

Tasvir Teri Dil Mera Bahala Na Sakegi
Ye Teri Tarah Mujh Se To Sharma Na Sakegi

Main Bat Karunga To Ye Khamosh Rahegi
Sine Se Laga Lunga To Ye Kuch Na Kahegi
Aram Vo Kya Degi Jo Tarpa Na Sakegi

Ye Ankhen Hain Tahari Huin Chanchal Vo Nigahen
Ye Hath Hain Sahme Huye Aur Mast Vo Bahen
Parchai To Insan K Kam A Na Sakegi

In Honthon Ko “Faiyyaz” Main Kuch De Na Sakunga
Is Zulf Ko Main Hath Main Bhi Le Na Sakunga
Uljhi Hui Laton Ko Ye Sulajha Na Sakegi

Takra Hi Gai Meri Nazar Un Ki Nazar Se

Takra Hi Gai Meri Nazar Un Ki Nazar Se
Dhona Hi Para Hath Mujhe Qalb-O-Jigar Se

Izhar-E-Mohabbat Na Kiya Bas Isi Dar Se
Aisa Na Ho Gir Ja Un Kahin Un Ki Nazar Se

Ai Zauq-E-Talab Josh-E-Junun Ye To Bata De
Jana Hai Kahan Aur Ham Aye Hain Kidhar Se

‘Fayyaz’ Ab Aya Hai Junun Josh Pe Apna
Hansta Hai Zamana Main Guzarta Hun Jidhar Se

Na Tum Mere Na Dil Mera Na( Jan-E-Natavan)

Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jan-E-Natavan Meri
Tasavur Main Bhi A Sakti Nahin Majaburiyan Meri

Na Tum Aye Na Chain Aya Na Maut Ai Shab-E-Vada
Dil-E-Muztar Tha Main Tha Aur Thi Betabiyan Meri

Abas Nadaniyon Par Ap Apni Naz Karte Hain
Abhi Dekhi Kahan Hain Ap Ne Nadaniyan Meri

Ye Manzil Ye Hasin Manzil Javani Nam Hai Jis Ka
Yahan Se Aur Age Barhna Ae Umr-E-Ravan Meri

Kam Nahin Meri Zindagi K Liye

Kam Nahin Meri Zindagi K Liye
Chain Mil Jaye Do Ghari K Liye

Ai Dil-E-Zar Kaun Hai Tera
Kyon Tarapta Hai Yun Kisi Ke Liye

Kitne Saman Kar Liye Paida
Itni Choti Si Zindagi Ke Liye

Aisa ‘Faiyyaz’ Gam Ne Ghera Hai
Lab Taras Hi Gaye Hansi Ke Liye

Hamain Koi Gam Nahin Tha (Gam-E-Ashiqi )

Hamain Koi Gam Nahin Tha Gam-E-Ashiqi Se Pahle
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pahle

Hai Ye Meri Bad Nasibi Tera Kya Qasur Is Main
Tere Gam Ne Mar Dala Mujhe Zindagi Se Pahle

Mera Pyar Jal Raha Hai Ai Chand Aj Chup Ja
Kabhi Pyar Tha Hamain Bhi Teri Chandni Se Pahle

Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Ye Ilm Hota
K Hazaron Gam Milenge Mujhe Ik Khushi Se Pahle

Ye Ajib Imtehan Hai K Tumhi Ko Bhulana Hai
Mile Kab The Is Tarah Ham Tumhen Bedili Se Pahle

Aj Jane Ki Zid Na Karo

Aj Jane Ki Zid Na Karo
Yun Hi Pahlu Main Baithe Raho
haye! Mar jayenge, Ham To Lut Jayenge
Aisi Baten Kiya Na Karo

Tum Hi Socho Zara Kyun Na Roke Tumhen
Jan Jati Hai Jab Uthke Jate Ho Tum
Tum Ko Apani Kasam Jan-E-Jan
Bat Itni Meri Man Lo

Waqt Ki Qaid Main Zindagi Hai Magar
Chand Ghariyan Yahi Hain Jo Azad Hai
In Ko Kho Kar Abhi Jan-E-Jan
Umr Bhar Na Taraste Raho

Kitna Masum-O-Rangin Hai Ye Sama
Husn Aur Ishq Ki Aj Meraj Hai
Kal Ki Kisko Khabar Jane-Jan
Rok Lo Aj Ki Rat Ko

Gesuon Ki Shikan Hai Abhi Shabnami
Aur Palkon K Saye Bhi Madahosh Hain
Husn-E-Masum Ko Jane-Jan
Bekhudi Main Na Rusva Karo
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...