Chal kuch dair intzar krain


Chal kuch dair intzar krain

Shayed k us k dil se
Badgumani ki braf pigal jay
Shayed k us ki ana ka suraj 
Aik din dhal jay......... .......


Shayed k wo kuch hum se
Milny ko machal jay
Chalo kuch dair intzar krain
Ho sakta hai wo.......... ....

Ana ki diwar gira daly 
Ho sakta hai wo ............
ehd-e wafa nibha daly 
Ho sakta hai wo ............ .

Humain akhri baar bula daly 
Chalo kuch dair intzar krain 
Mumkin hai apni qismat main b
Koi kamal ho jay ............ .....
Us ka dil b hmari trah 

Dard se behal ho jay........
Khushiyon ki arzu main 
Wo b nadhal ho jay.........

Chalo kuch dair intzar krain 
Apny muqader ki ............ ..
Tareek raton k jany ka
Us bichry huay dost k lot aany ka
Kash us ko b khyal aay
Humain manany ka.......... ..


Chalo kuch dair intzar krain 
Kuch dair aur khud ko 
Beqara krty hain ............ .


Chalo tmhary liay ............ .
Shikasat ka iqrar krty hain 
Shayed k tum lot aao 
Tumhara intzar krty hain 
Chalo k phir tajdeed-e muhabbat 
Aik baar krty hain ...


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...