Koi veerani si veerani hai..

Koi veerani si veerani hai,
Dasht* ko dekh ke ghar yad aya..
(Dasht;desert)

Tum laut aao to bahaar aaye..

Tum laut aao to,
Bahaar aaye,
Sadiyon se chala ho jo musafir,
Nangey paaon,
Pathreeli rait per,
Dikhe jese phir koi saaya daar darakht,
Yun mujhko jese qaraar aye,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye,
Mujhe to kuch yaad nahi rehta,
Tumhe sab yaad rehta tha,
Mujhe kab kis se milna hai,
Kahan kab baat karni hai,
Kahan chup chaap sa rehna hai,
Shor hota tha intihaa ka,
Tumhe kese maloom parrta tha,
Subah jab darwazey pe
Akhbaar aye,
Tum choottay ho,
To sabhi kaam thhap huye hain,
Sabhi cheezein wahin rakhi hain,
Mujhe kuch bhi karna,
Be’maani sa lagta hai,
Sabhi halaat,
Sabhi jazbaat,
Tumhi pe sarff kiye hain,
Mujhe kuch aur chaahna nahi aya,
Halka sa bhi jo kabhi
Khud pe ikhteyaar aye,
Maut qareeb ho jese,
Khonay ko ab kuch bhi nahi baaki,
Phir bhi kyun ese lagta hai,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..

Jo bhi aya mujhe thokar se nawaaza us ne..

Jo bhi aya mujhe thokar se nawaaza us ne,
Mein to pathar tha mujhe koi uthaata kese..

Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai..

Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai,
Woh sach kahe na kahe aitbaar karna hai,
Yeh tujh ko jaagtey rehne ka shauq kab se hua,
Mujhe to kher tera intizaar karna hai..

Aaj mujh ko bohat buraa keh kar..

Aaj mujh ko bohat buraa keh kar,
Aap ne aakhir naam to liya mera..

R U K H S A T I K A M A N Z A R

 Bazm-e-shaadi men yeh haNgama-e-maatam kyoN hai
         Manzil-e-'aish-o-tarab men asar-e-GHam kyoN hai
         Dekhiye jis ko woh baa~deeda(h)-e-pur~nam kyoN hai
         Daftar-e-'aish ka sheeraza yeh bar'ham kyoN hai

                      Jo hawa aati hai, woh dard~fiza aati hai
                      Saaz-e-'ishrat se GHam~aNgez sada aati hai

         MaaN se ruKHsat ke liye taaza(h) 'aroos aati hai
         Tohfa-e-dard-e-judaaii bhi magar laati hai
         Daf'atan dil pe ghaTa raNj ki chhaa jaati hai
         KHud bhi roti hai, a'izza ko bhi rul'waati hai

                MooNh se kehti naheeN kuchh, aaNkh se aaNsoo haiN rawaaN
                Lab-e-KHaamosh men hai daftar-e-m'ani pin'haaN

         MaiN samajhta tha meh'l yeh koi rone ka naheeN
         Faqat ek rasm-e-zaroori hai k(e) sab haiN GHam'geeN
         Jab KHushi chhaaii huwi ho, koi rota hai kaheeN ?
         Tajribe se magar ab dil ko huwa hai yeh yaqeeN

                      SaKH't pat'thar bhi agar hoN to pighal jaayeNge
                      Ashk be~saaKH'ta aaNkhoN se nikal jaayeNge

         Sar ko nahw'Raaye khaRi hai woh ba~sad hasrat-o-yaas
         RuKH-e-pur~noor pe afshaaN hai magar GHam se udaas
         Hech hai us ki nigaahoN men woh shaahaana libaas
         Zulf aaraasta hai -- aur pareshaaN haiN hawaas

                      ThaNdi saaNsoN se judaaii ka fasaana sun lo
                      Lab haiN KHaamosh, magar GHam ka fasaana sun lo

         KHoon men josh hai aur maaN pe nigaah-e-ruKHsat
         LaakhoN armaan haiN, aur taNg hai waqt-e-fursat
         Dil men ik dard hai, kehne naheeN deti GHairat
         Aaj hai pesh-e-nazar maaN ne jo di thi raahat

                      "GHam yeh hai, jab miri KHidmat ka zamaana aaya
                      AasmaaN dekhiye paiGHaam-e-judaaii laaya

         Apni maaN ka mujhe dun'ya men sahaara hai faqat
         Aaj saamaan hai jo kuchh woh tamaasha hai faqat
         Yehi 'uqba hai miri, aur yehi dun'ya hai faqat
         Woh gale mujh ko lagaa leN, yeh tamanna hai faqat

                      Muntazir hooN k(e) woh aayeN to balaaeN le looN
                      Waqt-e-ruKHsat hai qareeb, un ki du'aaeN le looN

         Dekhti jaati hooN ghooN'ghaT se maiN un ka chehra
         Roti jaati haiN magar kaam men hai haath baTa
         Meri jaanib nazar uTh'ti naheeN -- maiN un pe fidaa
         Dil ka 'aalam maiN samajhti hooN k(e) is waqt hai kya

                    Baat karti haiN to aawaaz hai bharraaii huwi
                    AaNkheN yooN surKH haiN jis tarh(a) se hoN aayi huwi"

         Dil men laRki ke KHayaalaat ka tha ek hujoom
         Waqt ruKHsat ka qareeb aa gaya --> ghar men huwi dhoom
         MaaN uThi fart-e-mohabbat se malool-o-maGHmoom
         Dil-e-be~taab ki haalat hai KHuda ko m'aloom

                      Dil men reh-reh ke jo ik naaKHun-e-GHam gaRta hai
                      PaaNv rakhti hai kaheeN aur kaheeN paRta hai

         Maadari josh mohabbat ka dikhaaya aaKHir
         Pyaari beTi ko gale baRH ke lagaaya aaKHir
         Taaqat-e-zab't na thi dil men phir aaya aaKHir
         Is tarah royee k(e) ghar bhar ko rulaaya aaKHir

                      Ho gaye raNj se be~taab gharaane waale
                      Rote dil khol ke aaKHir ko chhuRaane waale

         MaaN ka kehna k(e) "KHuda Haafiz-o-Naasir, beTi
         Mere dil ka hai wohi Shaahid-o-Naazir beTi
         Dukh pe dukh jhele haiN maiN ne tiri KHaatir beTi
         HooN madad ke liye har waqt maiN haazir beTi

                      Nek saa'at ho yeh aisi k(e) tu aabaad rahe
                      Mel aapas men rahe, chayn kare, shaad rahe

         Aj'nabi mard ke haathoN men diya hai daaman
         Kaise at'waar hoN, kya jaaniye kaise hoN chalan
         Yehi waswaas hai din-raat, yehi hai dhaRkan
         Door kar, baar-e-Ilaaha, mire dil ki uljhan

                      Tu sikhaa de ise KHidmat, use ulfat karna
                      'Umr bhar ab miri bach'chee ko hai marna-bharna"

         Ek KHaatoon ne dekha jo yeh haNgaama-e-GHam
         Aage baRh kar yeh kaha, poNchh ke chashm-e-pur~nam
         "Beebiyo, ghar hai yeh shaadi ka k(e) bazm-e-maatam ?
         Shukr ki jaa hai k(e) daamaad mila nek~qadam

                      Ab yehi raaj tumhaara hai, yehi sar ka taaj
                      Sajda-e-shukr karo tum k(e) subuk~dosh ho aaj

         Nek bar is ko mila, kya yeh naheeN shukr ki jaa ?
         Kaun mauqa hai k(e) ro-ro ke bahaao dar'ya ?
         LaRki hal'kaan huwi jaati hai dekho to zara
         AaNsoo thamte naheeN us ke yeh hai kya zulm bhala

                      ChaaNd ke ruKH pe jo afshaaN hai, bahi jaati hai
                      DaastaaN yeh kaheeN is waqt kahi jaati hai ?"

Lo chali laadli apni pii ki gali

Lo chali laadli apni pii ki gali
Surkh jode mein lagti hai kitni bhali
Hai kisi ke liye yeh Milan ki ghadi,
To kisi ke liye hai judaai badi,
Lo chali laadli apni pii ki gali……………..

Dhol bajte hain bajti hain shehnaiyaaN,
Kal se gujengi is ghar mein tanhaiyaaN,
Hai bidaai ki rasmon se majboor maa’N,
Kab rahi hai piyar mein sada betiyaaN,
Hoke rehti hai juda shaakh se har kali..
Lo chali laadli apni pii ki gali………………..

Badke baabul ko apane lagaalo gale,
Kal se ho jayeenge kitne hi faasale,
Sang bhai behan hain tumhare pale,
Aao inko basaa lo tum palkon tale,
Ho rahi hai dilon mein ajab khalbali,
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..

Bhul jana na hum ko ae pyari sakhi,
Jaake pii ke nagar  yaad karna kabhi,
Woh bachpan ki yaadein  bichdi hui,
Haath apne pasaare hain aaj khadi,
Ashk ki aaj shamma hansi par jali
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..

Shor machne laga  lo chali  paalki,
Ab  hui  jaati hai beti  sasuraal ki,
Kya misaal main dun baap ke haal ki,
Kya sunaun baat maa ke malaal ki,
Rote Rote kaha alvidaa laadali,
Lo chali laadli apni pii ki gal..........
Surkh jode mein lagti hai kitni bhali......
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...