Showing posts with label Adeem Hashmi Fresh Poetry. Show all posts
Showing posts with label Adeem Hashmi Fresh Poetry. Show all posts

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Yun Hua Ke Mar Gaye

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Yun Hua Ke Mar Gaye
Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye

Tu Bhi Kuch Aur Aur Hai Ham Bhi Kuch Aur Aur Hain
Jane Wo Tu Kidhar Gaya Jane Wo Ham Kidhar Gaye

Rahon Main Hi Mile The Ham Rahen Nasib Ban Gain
Tu Bhi Na Apne Ghar Gaya Ham Bhi Na Apne Ghar Gaye

Wo Bhi Gubar-E-Khak Tha Ham Bhi Gubar-E-Khak The
Wo Bhi Kahin Bikhar Gaya Ham Bhi Kahin Bikhar Gaye

Koi Kinar-E-Ab-E-Ju Baitha Hua Hai Sarnigun
Kashti Kidhar Chali Gai Jane Kidhar Bhanwar Gaye

Tere Liye Chale The Ham Tere Liye Thehar Gaye
Tu Ne Kaha To Ji Uthe Tu Ne Kaha To Mar Gaye

Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Tavil Ho Gaya
Dil Men Tere Firaq Ke Jitne The Zakhm Bhar Gaye

Barish-E-Vasl Wo Hui Sara Gubar Dhul Gaya
Wo Bhi Nikhar Nikhar Gaya Ham Bhi Nikhar Nikhar Gaye

Itne Qarib Ho Gaye Itne Raqib Ho Gaye
Wo Bhi “Adeem” Dar Gaya Ham Bhi “Adeem” Dar Gaye

Dil Ajab Gumbad K Jis Main Ik Kabutar Bhi Nahin

Dil Ajab Gumbad K Jis Main Ik Kabutar Bhi Nahin
Itna Viran To Murdaron Ka Muqaddar Bhi Nahin

Dabati Jati Hain Mitti Main Badan Ki Kashtiyan
Dekhane Main Ye Zamin Koi Samandar Bhi Nahin

Jitne Hangame The Sukhi Tahaniyon Se Jhar Gaye
Per Par Phal Bhi Nahin Angan Main Patthar Bhi Nahin

Khushk Tahani Par Parinda Hai Ki Patta Hai ‘Adeem’
Ashiyana Bhi Nahin Jis Ka Koi Par Bhi Nahin

Jitni Pyari Hain Meri Dharati Jo Zanjirain ‘Adeem’
Itana Pyara To Kisi Dulhan Ko Zevar Bhi Nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...