Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum
shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum
benur ho chuki hai bahut shahar ke faza
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum
us ke bagair aj bahut jee udas hai
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum