Showing posts with label best ghazal. Show all posts
Showing posts with label best ghazal. Show all posts
Maan liya sach kehti ho, Mujh se mohabbat karti ho..
Maan liya sach kehti ho,
Mujh se mohabbat karti ho,
Meray khawbon ki duniya mein rehti ho,
Meri yaad ke aalam,
Door hila’aa mein,
Aksar takti rehti ho,
Din sochon mein katt jata hai,
Raat ko neend nahi aati,
Ek ek taara ginti ho,
Ye bhi sach hai,
Apney hussn ki barish se,
Meri zeest ka sehraa,
Jal-thal ker do ge,
Jeevan bhar sukh baanto ge,
Lekin…
Aye masoom larrki !!
Main bebass hoon,
Chahoon bhi to,
Sath tumhara de nahi sakta,
Mere dukh ki duniya tanhaa,
Mere sukh ki bat alag hai..
Kis umeed pe, kis bharosey per,
Mera daaman thaamo gi,
Mere haath ki tooti-phooti,
Tirchi lakirein ghaur se dekho,
In mein tumhara naam nahi hai..
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Tum laut aao to bahaar aaye..
Tum laut aao to,
Bahaar aaye,
Sadiyon se chala ho jo musafir,
Nangey paaon,
Pathreeli rait per,
Dikhe jese phir koi saaya daar darakht,
Yun mujhko jese qaraar aye,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye,
Mujhe to kuch yaad nahi rehta,
Tumhe sab yaad rehta tha,
Mujhe kab kis se milna hai,
Kahan kab baat karni hai,
Kahan chup chaap sa rehna hai,
Shor hota tha intihaa ka,
Tumhe kese maloom parrta tha,
Subah jab darwazey pe
Akhbaar aye,
Tum choottay ho,
To sabhi kaam thhap huye hain,
Sabhi cheezein wahin rakhi hain,
Mujhe kuch bhi karna,
Be’maani sa lagta hai,
Sabhi halaat,
Sabhi jazbaat,
Tumhi pe sarff kiye hain,
Mujhe kuch aur chaahna nahi aya,
Halka sa bhi jo kabhi
Khud pe ikhteyaar aye,
Maut qareeb ho jese,
Khonay ko ab kuch bhi nahi baaki,
Phir bhi kyun ese lagta hai,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
R U K H S A T I K A M A N Z A R
Bazm-e-shaadi men yeh haNgama-e-maatam kyoN hai
Manzil-e-'aish-o-tarab men asar-e-GHam kyoN hai
Dekhiye jis ko woh baa~deeda(h)-e-pur~nam kyoN hai
Daftar-e-'aish ka sheeraza yeh bar'ham kyoN hai
Jo hawa aati hai, woh dard~fiza aati hai
Saaz-e-'ishrat se GHam~aNgez sada aati hai
MaaN se ruKHsat ke liye taaza(h) 'aroos aati hai
Tohfa-e-dard-e-judaaii bhi magar laati hai
Daf'atan dil pe ghaTa raNj ki chhaa jaati hai
KHud bhi roti hai, a'izza ko bhi rul'waati hai
MooNh se kehti naheeN kuchh, aaNkh se aaNsoo haiN rawaaN
Lab-e-KHaamosh men hai daftar-e-m'ani pin'haaN
MaiN samajhta tha meh'l yeh koi rone ka naheeN
Faqat ek rasm-e-zaroori hai k(e) sab haiN GHam'geeN
Jab KHushi chhaaii huwi ho, koi rota hai kaheeN ?
Tajribe se magar ab dil ko huwa hai yeh yaqeeN
SaKH't pat'thar bhi agar hoN to pighal jaayeNge
Ashk be~saaKH'ta aaNkhoN se nikal jaayeNge
Sar ko nahw'Raaye khaRi hai woh ba~sad hasrat-o-yaas
RuKH-e-pur~noor pe afshaaN hai magar GHam se udaas
Hech hai us ki nigaahoN men woh shaahaana libaas
Zulf aaraasta hai -- aur pareshaaN haiN hawaas
ThaNdi saaNsoN se judaaii ka fasaana sun lo
Lab haiN KHaamosh, magar GHam ka fasaana sun lo
KHoon men josh hai aur maaN pe nigaah-e-ruKHsat
LaakhoN armaan haiN, aur taNg hai waqt-e-fursat
Dil men ik dard hai, kehne naheeN deti GHairat
Aaj hai pesh-e-nazar maaN ne jo di thi raahat
"GHam yeh hai, jab miri KHidmat ka zamaana aaya
AasmaaN dekhiye paiGHaam-e-judaaii laaya
Apni maaN ka mujhe dun'ya men sahaara hai faqat
Aaj saamaan hai jo kuchh woh tamaasha hai faqat
Yehi 'uqba hai miri, aur yehi dun'ya hai faqat
Woh gale mujh ko lagaa leN, yeh tamanna hai faqat
Muntazir hooN k(e) woh aayeN to balaaeN le looN
Waqt-e-ruKHsat hai qareeb, un ki du'aaeN le looN
Dekhti jaati hooN ghooN'ghaT se maiN un ka chehra
Roti jaati haiN magar kaam men hai haath baTa
Meri jaanib nazar uTh'ti naheeN -- maiN un pe fidaa
Dil ka 'aalam maiN samajhti hooN k(e) is waqt hai kya
Baat karti haiN to aawaaz hai bharraaii huwi
AaNkheN yooN surKH haiN jis tarh(a) se hoN aayi huwi"
Dil men laRki ke KHayaalaat ka tha ek hujoom
Waqt ruKHsat ka qareeb aa gaya --> ghar men huwi dhoom
MaaN uThi fart-e-mohabbat se malool-o-maGHmoom
Dil-e-be~taab ki haalat hai KHuda ko m'aloom
Dil men reh-reh ke jo ik naaKHun-e-GHam gaRta hai
PaaNv rakhti hai kaheeN aur kaheeN paRta hai
Maadari josh mohabbat ka dikhaaya aaKHir
Pyaari beTi ko gale baRH ke lagaaya aaKHir
Taaqat-e-zab't na thi dil men phir aaya aaKHir
Is tarah royee k(e) ghar bhar ko rulaaya aaKHir
Ho gaye raNj se be~taab gharaane waale
Rote dil khol ke aaKHir ko chhuRaane waale
MaaN ka kehna k(e) "KHuda Haafiz-o-Naasir, beTi
Mere dil ka hai wohi Shaahid-o-Naazir beTi
Dukh pe dukh jhele haiN maiN ne tiri KHaatir beTi
HooN madad ke liye har waqt maiN haazir beTi
Nek saa'at ho yeh aisi k(e) tu aabaad rahe
Mel aapas men rahe, chayn kare, shaad rahe
Aj'nabi mard ke haathoN men diya hai daaman
Kaise at'waar hoN, kya jaaniye kaise hoN chalan
Yehi waswaas hai din-raat, yehi hai dhaRkan
Door kar, baar-e-Ilaaha, mire dil ki uljhan
Tu sikhaa de ise KHidmat, use ulfat karna
'Umr bhar ab miri bach'chee ko hai marna-bharna"
Ek KHaatoon ne dekha jo yeh haNgaama-e-GHam
Aage baRh kar yeh kaha, poNchh ke chashm-e-pur~nam
"Beebiyo, ghar hai yeh shaadi ka k(e) bazm-e-maatam ?
Shukr ki jaa hai k(e) daamaad mila nek~qadam
Ab yehi raaj tumhaara hai, yehi sar ka taaj
Sajda-e-shukr karo tum k(e) subuk~dosh ho aaj
Nek bar is ko mila, kya yeh naheeN shukr ki jaa ?
Kaun mauqa hai k(e) ro-ro ke bahaao dar'ya ?
LaRki hal'kaan huwi jaati hai dekho to zara
AaNsoo thamte naheeN us ke yeh hai kya zulm bhala
ChaaNd ke ruKH pe jo afshaaN hai, bahi jaati hai
DaastaaN yeh kaheeN is waqt kahi jaati hai ?"
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Lo chali laadli apni pii ki gali
Lo chali laadli apni pii ki gali
Surkh jode mein lagti hai kitni bhali
Hai kisi ke liye yeh Milan ki ghadi,
To kisi ke liye hai judaai badi,
Lo chali laadli apni pii ki gali……………..
Dhol bajte hain bajti hain shehnaiyaaN,
Kal se gujengi is ghar mein tanhaiyaaN,
Hai bidaai ki rasmon se majboor maa’N,
Kab rahi hai piyar mein sada betiyaaN,
Hoke rehti hai juda shaakh se har kali..
Lo chali laadli apni pii ki gali………………..
Badke baabul ko apane lagaalo gale,
Kal se ho jayeenge kitne hi faasale,
Sang bhai behan hain tumhare pale,
Aao inko basaa lo tum palkon tale,
Ho rahi hai dilon mein ajab khalbali,
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Bhul jana na hum ko ae pyari sakhi,
Jaake pii ke nagar yaad karna kabhi,
Woh bachpan ki yaadein bichdi hui,
Haath apne pasaare hain aaj khadi,
Ashk ki aaj shamma hansi par jali
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Shor machne laga lo chali paalki,
Ab hui jaati hai beti sasuraal ki,
Kya misaal main dun baap ke haal ki,
Kya sunaun baat maa ke malaal ki,
Rote Rote kaha alvidaa laadali,
Lo chali laadli apni pii ki gal..........
Surkh jode mein lagti hai kitni bhali......
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Labels:
best ghazal
Ek larki kay ahsasat at rukhsati
ek umar ka safar jahan guzra wo ghar praya ho jayga
sonp dayngay mjy auro ko juda mjhsy mra ashyan ho jay ga
na janay kun kr dty hain juda khud sy maa baap batyon ko
barson ki pahchan ko ek pal begana kar jay ga
guzray gi kasy mry zndgi in sy bichar kay
jab maa baaap bhan bhai aur yar dost yadoo ka sarmaya ho jay ga
churana mushkil hy daman kis tarah my sanbhalo gy khd ko bhulna na mumkin hy
wo pyar daty jisy maa baapko zamana hogayana bholaya jay ga
wo beetay din mary sab yad hain wo ghum ky mosam bhi
apnay khusi aur ghum ky sathi sy hath na mjh sy churaya jay ga
num ankhon my mary abi say wo manzar ghomty hain
dastor jab ye dunya ka mary sath nibhaya jy ga
phot phot kr jo rotay hum to kisi ko kya malom
kya dard hy hamain kyo byaha jay ga
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Tum yeh kese kar lete ho..
Tasveer ko dekhtey rehte ho,
Jab behnein eid’on par bhayiyon ki
Nazar utaarein,
Tum sehraa’on ki jalti rait per,
Tum un ki chithhii parhtey ho,
Jab lakht-e-jigar ki doori se,
Maan ki aankh tar ho jaye,
Tum us mein bethe sarhad ki nigrani
kartey rehte ho,
Jab har umeed ki khirrki per
Bebasi jaalay buunti ho,
Tum aesi tez hawaaon mein,
Har simt ko urrtay phirtay ho,
Tum yeh kese kar lete ho,
Tum is qaum ke saarey gham,
Apne kese kar lete ho,
Har mushkil mein is mitti
per martey rehte ho,
Tum yeh kese kar lete ho..
(Originally written for Pakistan Army by Ghulam Ahmad)
Labels:
best ghazal
Rukhsati ka din
Lo aj rukhsati ka din a he gaya
Jis ke arzoo the wo din a he gaya
Ho ka rukhsat apnay ghar jate ho tum
Badal na khuwasta tar ho jate ho tum
Arzi hota ha sada ghar MA BAAP ka
Sath kb reta hai sada ghar ma baap ka
Khawand ko dil sa na bhoolana kabhe
Wo chaha ga tumha Tum na azmana kabhe
Dua tujha KHUDA sada shadoo abad rakha
Sir par tara wo apne rehmat ka hath rakhay
ameen
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Muhabbat hai teray gaisoo
Muhabbat hai teray gaisoo, Tare palkhian, Tare ankhain
Muhabbat hai tare batain, Tare dharkan, Tare sansain
Kabhe gum sum, Kabhe chanchal, Kabhe jugnoo, Kabhe badal
Kabhe ye neend hai to, Kabhe ya khuwab jaise hai
Muhabbat ko agar samjho to, Apne zaat jaise hai
Agar sach hai to bs ya hai, Muhabbat ap jaise hai
Labels:
best ghazal
Subscribe to:
Posts (Atom)