Bazm-e-shaadi men yeh haNgama-e-maatam kyoN hai
Manzil-e-'aish-o-tarab men asar-e-GHam kyoN hai
Dekhiye jis ko woh baa~deeda(h)-e-pur~nam kyoN hai
Daftar-e-'aish ka sheeraza yeh bar'ham kyoN hai
Jo hawa aati hai, woh dard~fiza aati hai
Saaz-e-'ishrat se GHam~aNgez sada aati hai
MaaN se ruKHsat ke liye taaza(h) 'aroos aati hai
Tohfa-e-dard-e-judaaii bhi magar laati hai
Daf'atan dil pe ghaTa raNj ki chhaa jaati hai
KHud bhi roti hai, a'izza ko bhi rul'waati hai
MooNh se kehti naheeN kuchh, aaNkh se aaNsoo haiN rawaaN
Lab-e-KHaamosh men hai daftar-e-m'ani pin'haaN
MaiN samajhta tha meh'l yeh koi rone ka naheeN
Faqat ek rasm-e-zaroori hai k(e) sab haiN GHam'geeN
Jab KHushi chhaaii huwi ho, koi rota hai kaheeN ?
Tajribe se magar ab dil ko huwa hai yeh yaqeeN
SaKH't pat'thar bhi agar hoN to pighal jaayeNge
Ashk be~saaKH'ta aaNkhoN se nikal jaayeNge
Sar ko nahw'Raaye khaRi hai woh ba~sad hasrat-o-yaas
RuKH-e-pur~noor pe afshaaN hai magar GHam se udaas
Hech hai us ki nigaahoN men woh shaahaana libaas
Zulf aaraasta hai -- aur pareshaaN haiN hawaas
ThaNdi saaNsoN se judaaii ka fasaana sun lo
Lab haiN KHaamosh, magar GHam ka fasaana sun lo
KHoon men josh hai aur maaN pe nigaah-e-ruKHsat
LaakhoN armaan haiN, aur taNg hai waqt-e-fursat
Dil men ik dard hai, kehne naheeN deti GHairat
Aaj hai pesh-e-nazar maaN ne jo di thi raahat
"GHam yeh hai, jab miri KHidmat ka zamaana aaya
AasmaaN dekhiye paiGHaam-e-judaaii laaya
Apni maaN ka mujhe dun'ya men sahaara hai faqat
Aaj saamaan hai jo kuchh woh tamaasha hai faqat
Yehi 'uqba hai miri, aur yehi dun'ya hai faqat
Woh gale mujh ko lagaa leN, yeh tamanna hai faqat
Muntazir hooN k(e) woh aayeN to balaaeN le looN
Waqt-e-ruKHsat hai qareeb, un ki du'aaeN le looN
Dekhti jaati hooN ghooN'ghaT se maiN un ka chehra
Roti jaati haiN magar kaam men hai haath baTa
Meri jaanib nazar uTh'ti naheeN -- maiN un pe fidaa
Dil ka 'aalam maiN samajhti hooN k(e) is waqt hai kya
Baat karti haiN to aawaaz hai bharraaii huwi
AaNkheN yooN surKH haiN jis tarh(a) se hoN aayi huwi"
Dil men laRki ke KHayaalaat ka tha ek hujoom
Waqt ruKHsat ka qareeb aa gaya --> ghar men huwi dhoom
MaaN uThi fart-e-mohabbat se malool-o-maGHmoom
Dil-e-be~taab ki haalat hai KHuda ko m'aloom
Dil men reh-reh ke jo ik naaKHun-e-GHam gaRta hai
PaaNv rakhti hai kaheeN aur kaheeN paRta hai
Maadari josh mohabbat ka dikhaaya aaKHir
Pyaari beTi ko gale baRH ke lagaaya aaKHir
Taaqat-e-zab't na thi dil men phir aaya aaKHir
Is tarah royee k(e) ghar bhar ko rulaaya aaKHir
Ho gaye raNj se be~taab gharaane waale
Rote dil khol ke aaKHir ko chhuRaane waale
MaaN ka kehna k(e) "KHuda Haafiz-o-Naasir, beTi
Mere dil ka hai wohi Shaahid-o-Naazir beTi
Dukh pe dukh jhele haiN maiN ne tiri KHaatir beTi
HooN madad ke liye har waqt maiN haazir beTi
Nek saa'at ho yeh aisi k(e) tu aabaad rahe
Mel aapas men rahe, chayn kare, shaad rahe
Aj'nabi mard ke haathoN men diya hai daaman
Kaise at'waar hoN, kya jaaniye kaise hoN chalan
Yehi waswaas hai din-raat, yehi hai dhaRkan
Door kar, baar-e-Ilaaha, mire dil ki uljhan
Tu sikhaa de ise KHidmat, use ulfat karna
'Umr bhar ab miri bach'chee ko hai marna-bharna"
Ek KHaatoon ne dekha jo yeh haNgaama-e-GHam
Aage baRh kar yeh kaha, poNchh ke chashm-e-pur~nam
"Beebiyo, ghar hai yeh shaadi ka k(e) bazm-e-maatam ?
Shukr ki jaa hai k(e) daamaad mila nek~qadam
Ab yehi raaj tumhaara hai, yehi sar ka taaj
Sajda-e-shukr karo tum k(e) subuk~dosh ho aaj
Nek bar is ko mila, kya yeh naheeN shukr ki jaa ?
Kaun mauqa hai k(e) ro-ro ke bahaao dar'ya ?
LaRki hal'kaan huwi jaati hai dekho to zara
AaNsoo thamte naheeN us ke yeh hai kya zulm bhala
ChaaNd ke ruKH pe jo afshaaN hai, bahi jaati hai
DaastaaN yeh kaheeN is waqt kahi jaati hai ?"
No comments:
Post a Comment