Showing posts with label 4 Line Poetry. Show all posts
Showing posts with label 4 Line Poetry. Show all posts
Kahan paaon rakhoon zameen nahin..
Yeh hala’aa* hai arsh-e-bareen* nahin,
Kahan paaon rakhoon zameen nahin,
Tere dar pe sajde ka shauq hai,
Jo yahan nahin to kaheen naheen..
(hala’aa;space, arsh;sky, bareen;whole, arsh-e-bareen;whole sky)
Labels:
4 Line Hindi Poetry,
4 Line Poetry
Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai..
Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai,
Woh sach kahe na kahe aitbaar karna hai,
Yeh tujh ko jaagtey rehne ka shauq kab se hua,
Mujhe to kher tera intizaar karna hai..
Labels:
4 Line Hindi Poetry,
4 Line Poetry
Kahan koi aisa mila jis par hum duniya luta dete..
Kahan koi aisa mila jis par hum duniya luta dete,
Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,
Apne dil ka zakhm dil me hi dabaye rakha,
Bayaan karte to mehfil ko rulaa dete..
Subscribe to:
Posts (Atom)