Lo chali laadli apni pii ki gali
Surkh jode mein lagti hai kitni bhali
Hai kisi ke liye yeh Milan ki ghadi,
To kisi ke liye hai judaai badi,
Lo chali laadli apni pii ki gali……………..
Dhol bajte hain bajti hain shehnaiyaaN,
Kal se gujengi is ghar mein tanhaiyaaN,
Hai bidaai ki rasmon se majboor maa’N,
Kab rahi hai piyar mein sada betiyaaN,
Hoke rehti hai juda shaakh se har kali..
Lo chali laadli apni pii ki gali………………..
Badke baabul ko apane lagaalo gale,
Kal se ho jayeenge kitne hi faasale,
Sang bhai behan hain tumhare pale,
Aao inko basaa lo tum palkon tale,
Ho rahi hai dilon mein ajab khalbali,
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Bhul jana na hum ko ae pyari sakhi,
Jaake pii ke nagar yaad karna kabhi,
Woh bachpan ki yaadein bichdi hui,
Haath apne pasaare hain aaj khadi,
Ashk ki aaj shamma hansi par jali
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Shor machne laga lo chali paalki,
Ab hui jaati hai beti sasuraal ki,
Kya misaal main dun baap ke haal ki,
Kya sunaun baat maa ke malaal ki,
Rote Rote kaha alvidaa laadali,
Lo chali laadli apni pii ki gal..........
Surkh jode mein lagti hai kitni bhali......
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
Lo chali laadli apni pii ki gali…………..
No comments:
Post a Comment