Shayari on Beauty in Hindi

Tere Hasin Tasavur Ka Aasra Lekar
Dukhon K Kante Main Sare Samet Leta Hun.
Tumara Naam He Kafi H Rahat-E-Jaan Ko
Ghamon Ki Taiz Hawaon Ko Morr Deta Hn.

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein, Itna Tu Kiya Hota
Jo Haath Jiger Per Hai, Woh Dast-E-Dua Hota

Ik Ishq Ka Gham Afat Aur Uss Oe Yeh Dil Afat
Yan Gham Na Diya Hota, Yan Dil Na Diya Hota

Nakaam Tammana,Dil Iss Soch Mein Rehta Hai
Yun Hota Tu Kya Hota, Yun Hota Tu Kya Hota?

Gham Na Kar Zindagi Badi Hai

Gham Na Kar Zindagi Bahut Badi Hai,
Chahat Ki Mehfil Tere Liye Saji Hai,
Bas Ek Baar Muskura Kar Tho Dekh,
Taqdeer Khud Tujhse Milne Bahar Khadi Hai…

Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale

chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale

teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale

har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale

din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale

Apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona

apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona
jab bhi rona ho charagon ko bujha kar jina
hath bhi jate huye wo to milakar na gaya
main ne chaha jise sine se laga kar rona
tere divane ka kya hal kiya hai gham ne
muskurate huye logon mein bhi ja kar rona
log pad lete hain chehare pe likhi tahariren
itna dushvar hai logon se chupa kar rona

Apne tain to har ghadi gham hai, aalam hai, daag hai

apne tain to har ghadi gham hai, aalam hai, daag hai
yaad kare hamen kabhi kab ye tujhe dimag hai
ji ki khushi nahi giro sabz-o-gul ki hath kuch
dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai
kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai
jalate hi jalate subah tak guzari use tamam shab
dil hai ki shola hai koi, shama hai ya chirag hai
paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai
sair-e-bahar-o-bag se hum ko maf kijiye
us ki khayal-e-zulf se dard kise farag hai?

Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye

Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye

us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye
khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye
shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye
tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye
mujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “nazeer”
meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo

Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
bhale chin lo mujhase meri javani
magar mujhko lauta do bachpan ka savan
wo kagaz ke kashti, wo barish ka pani
muhalle ke sabase nishani purani
wo budhiya jise bache kahate the nani
wo nani ke baton mein pariyon ka dera
wo chahare ke jhuriryon mein sadiyon ka phera
bhulaye nahi bhool sakata hai koi
wo choti si raten wo lambi kahani
kadi dhup mein apne ghar se nikalana
wo chidiya wo bul-bul wo titali pakadana
wo gudiya ke shadi mein ladana jhagadana
wo jhulon se girna wo gir ke sambhalana
wo pital ke challon ke pyare se tohafe
wo tuti hui chudiyon ke nishani
kabhi ret ke unche tilon pe jana
gharonde banana banake mitana
wo masum chahat ke tasvir apni
wo khwabon khilaunon ke jagir apni
na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khubasurat thi wo zindagani

Hum Bewafa

Hamein Aapki Yaad Na Aaye To Hum Bewafa
Aap Hamein Bulaein Aur Hum Na Aaein To Hum Bewafa
Hammein Zahar Dene Ki Kya Zaroorat Hai
Aap Chehra Mod Le Aur Hum Na Marein To Hum Bewafa

Bhir Main Ik Ajnabi Ka

Bhir Main Ik Ajnabi Ka Samana Acha Laga
Sab Se Chup Kar Vo Kisi Ka Dekhna Acha Laga

Surmai Ankhon K Niche Phul Se Khilne Lage
Kahte Kahte Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga

Bat To Kuch Bhi Nahi Thi Lekin Us Ka Ek Dam
Hath Ko Honton Pe Rakh Kar Rokna Acha Laga

Chay Main Chini Milana Us Ghari Bhaya Bahut
Zer-E Lab Vo Muskurata Shukriya Acha Laga

Dil Main Kitne Ahad Bandhe The Bhulane Ke Use
Vo Mila To Sab Irade Torna Acha Laga

Beirada Lams Ki Vo Sansani Pyari Lagi
Kam Tavajjo Ankh Ka Vo Dekhna Acha Laga

Nim Shab Ki Khamushi Main Bhigti Sarkon Pe Kal
Teri Yadon K Jalo Main Ghumna Acha Laga

Us Udu-E-Jan Ko ‘Amjad’ Main Bura Kaise Kahun
Jab Bhi Aya Samne Vo Bevafa Acha Laga

Seo tags:
Amjad Islam Amjad Fresh Poetry, Amjad Islam Amjad Latest Poetry, Amjad Islam Amjad New Poetry, Amjad Islam Amjad Poetry, Amjad Islam Amjad Romantic Poetry, Amjad Islam Amjad Sad Poetry, Amjad Poetry, Hindi Poetry, Urdu Poetry
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...