apne tain to har ghadi gham hai, aalam hai, daag hai
yaad kare hamen kabhi kab ye tujhe dimag hai
ji ki khushi nahi giro sabz-o-gul ki hath kuch
dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai
kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai
jalate hi jalate subah tak guzari use tamam shab
dil hai ki shola hai koi, shama hai ya chirag hai
paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai
sair-e-bahar-o-bag se hum ko maf kijiye
us ki khayal-e-zulf se dard kise farag hai?
No comments:
Post a Comment