Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye
us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye
khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye
shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye
tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye
mujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “nazeer”
meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye
No comments:
Post a Comment