Eid Ka Din Hai |best ghazal,
Eid Ka Din Gale Aj To Mil Lay Zalim Zakhm-e Dunya Bi Hai Moqa Bi Hai Dastoor Bi Hai Ishq Is Tarah Ke Gustakh Taqazy Na Kare Husn Mazdor Bi, Majboor Bi, Magroor Bi Hai Ghroor-e Husn Ke Sadqe Mohabat Yun Nahi Karte Bhari Mehfil Mai Zahir Dil Ki Wehshat Yun Nahi Karte Ye Mana Tum Haseen Aur Tumhain Haq Hai Shirart Ka Kisi K Jan Pe Ban Jaye Shirart Yun Nahi Karte Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaaba Hai Nigahon Ka Adab Lazam Hai Kaabe Ki Zayart Yun Nahi Karte Kuch Apne Husn Ki Kheerat De Do Ham Faqeron Ko Kisi Sayal Ko Apne Dar Se Ruksat Yun Nahi Karte Haya Aur Shram Ko Ham Husn Ka Zeewar Samjhte Hain Ye Zeewar Lut Ke Reh Jaye Sikhawat Yun Nahi Karte Tumhari Ik Nazar Pe Faisla Hai Zindagi Ka Maseeha Ho Ke Bemaron Se Ghaflat Yun Nahi Karte Maseeha Aur Tum In Kufr Ki Baaton Se Baaz Aao Khuda Ko Chor Kar But Ki Ibadat Yun Nahi Karte Aap Ne Jo Kaha Wohi Thek Sahi Mera Kehna Bi Kuch Bura Tu Nahi K Eid Ka Din Hai Gale Aj Tu Mil Lay Zalim Rasm-e Dunya B Hai Moqa B Hai Dastoor B Hai -
No comments:
Post a Comment