Duniya bani to hamd-o-suna ban gai gazal |Best ghazal
Duniya bani to hamd-o-suna ban gai gazal
utara jo nur nur-e-khuda ban gai gazal
gunja jo nadbrahm bani raqs-e-mahar-o-mah
zarre jo thar-tharaye sada ban gai gazal
chamaki kaheen jo barq to ehasas ban gai
chai kaheen ghata to ada ban gai gazal
aandhi chali to qahar ke sanche mein dhal gai
bad-e-saba chali to nasha ban gai gazal
haivan bane to bhuk bani bebasi bani
insan bane to jazb-e-vafa ban gai gazal
utha jo dard-e-ishq to ashkon mein dhal gai
bechainiyan badi to dua ban gai gazal
zahid ne pi to jam-e-panah ban ke rah gai
rindon ne pi to jam-e-baqa ban gai gazal
arz-e-dakkan mein jan to dilli mein dil bani
aur shahar lakhanau mein hina ban gai gazal
dohe rubai nazmen sabi ‘tarz’ the magar
asnaf-e-shayari ka khuda ban gai gazal
No comments:
Post a Comment