Sakut-E-Sham-E-Khizan Hai Qarib A Jao
Bara Udas Saman Hai Qarib A Jao
Na Tum Ko Khud Pe Bharosa Na Ham Ko Zom-E-Vafa
Na Aitabar-E-Jahan Hai Qarib A Jao
Rah-E-Talab Main Kisi Ko Dhyan Nahin
Hujum-E-Hamsafaran Hai Qarib A Jao
Jo Dasht-E-Ishq Main Bichren Vo Umr Bhar Na Mile
Yahan Yahan Dhuan Hi Dhuan Hai Qarib A Jao
Ye Andhian Hain To Shahar-E-Vafa Ki Khair Nahin
Zamana Khakfashan Hai Qarib A Jao
Faqih-E-Shahar Ki Majalis Nahin K Dur Raho
Ye Bazm-E-Pir-E-Magan Hai Qarib A Jao
‘Faraz’ Dur K Suraj Garub Samajhe Gaye
Ye Daur-E-Kamnazara Hai Qarib A Jao
No comments:
Post a Comment