meri teri nigah mein jo lakh intazar hain
jo mere tere tan badan mein lakh dil figar hain
jo meri teri ungaliyon ke behisi se sab qalam nazar hain
jo mere tere shahar ke har ik gali mein
mere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazar hain
jo meri teri raat ke sitare zakhm zakhm hain
jo meri teri subah ke gulab chak chak hain
ye zakhm sare be-dava ye chak sare be-rafu
kisi pe rakh chand ke kisi pe os ka lahu
ye hain bhi ya nahi bata
ye hai ki mahaz jal hai
mere tumhare ankabut-e-vaham ka buna hua
jo hai to is ka kya karen
nahi hai to bhi kya karen
bata, bata, bata, bata
No comments:
Post a Comment