Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka

Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka
Bat Kar Tujh Par Guman Hone Laga Tasvir Ka

Rat Kya Soye K Baqi Umr Ki Nind Ur Gai
Khvab Kya Dekha Ki Dharka Lag Gaya Tabir Ka

Jane Tu Kis Alam Main Bichara Hai Ki Tere Bagair
Aj Tak Har Lafz Fariyadi Meri Tahrir Ka

Jis Tarah Badal Ka Saya Pyas Bharakta Rahe
Main Ne Vo Alam Bhi Dekha Hai Teri Tasvir Ka

Kis Tarah Paya Tujhe Phir Kis Tarah Khoya Tujhe
Mujh Sa Munkir Bhi To Qail Ho Gaya Taqdir Ka

Ishq Main Sar Phorna Bhi Kya K Ye Be-Meher Log
Ju-E-Khun Ko Nam Dete Hain Ju-E-Shir Ka

Jis Ko Bhi Chaha Use Shidat Se Chaha Hai ‘Faraz’
Sil-Sila Tuta Nahin Dard Ki Zanjir Ka

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...