Kuch Muhtasibon K Khilwat Main Kuch Waiz K Ghar Jati Hai

Kuch Muhtasibon K Khilwat Main Kuch Waiz K Ghar Jati Hai
Ham Bada-Kashon K Hise Ko Ab Jam Main Kam Kam Ati Hai

Yun Arz-O-Talab Se Kab Ai Dil Patthar-Dil Pani Hote Hain
Tum Lakh Raza K Khu Dalo Kab Khu-E-Sitamgar Jati Hai

Bedad-Garon Ki Basti Hai Yan Dad Kahan Fariyad Kahan
Sar Phorti Phirti Hai Nadan Fariyad Jo Dar Dar Jati Hai

Han Ji K Zayan K Ham Ko Bhi Tashwish Hai Lekin Kya Kjiye
Har Rah Jo Udhar Ko Jati Hai Maqtal Se Guzar Kar Jati Hai

Ab Kucha-E-Dilbar Ka Rah-Rau Rahzan Bhi Bane To Bat Bane
Pahre Se Udu Talte Hi Nahin Aur Rat Barabar Jati Hai

Ham Ahal-E-Qafas Tanha Bhi Nahin Har Roz Nasim-E-Subah-E-Watan
Yadon Se Muattar Ati Hai Ashkon Se Munawwar Jati Hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...