Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye
baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye
jugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye
lahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye
suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye
jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham ke namnak ho gaye
sahil pe jitne aab_guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairak ho gaye
No comments:
Post a Comment