Gham mein bhi khushi na hui..
Teri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui,
Woh zindagi to mohabbat ki zindagi na huiii…
...
تیری خوشی سے اگر غم میں بھی خوشی نہ ہوئی
..وہ زندگی تو محبّت کی زندگی نہ ہوئی
....
Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de..
Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de,
Jo ranjj ki gharri bhi khushi se guzaar de..
Din nahin raat nahin subah nahin shaam nahin..
Din nahin raat nahin subah nahin shaam nahin,
Reh gayi aik “nahin”, “haan” ka kahin naam nahin..
....
دن نہیں رات نہیں صبح نہیں شام نہیں
...رہ گی ایک ،، نہیں ،، ہاں،، کا کہیں نام نہیں
......
Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai..
Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai,
Khushii se bolnaa jis shakhss ka mamool ho jaye..
Kitni dilkash hai khamoshi teri..
Kitni dilkash hai khamoshi teri,
Meri sari baten fazool hon jese..
Ishq ne tere to sabhi baal nikaal liye..
Ishq ne tere to sabhi baal nikaal liye,
Muddat se aarzuu thi seedha kare koi..
Sari zindagi jo rakha rishton ka bharam..
Sari zindagi jo rakha rishton ka bharam,
Koi apne siwaa magar apnaa naheen hota..
Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon..
Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhhal de koi..
Kisi bewafa ki khaatir yeh junoon Faraz kab tak..
Kisi bewafa ki khaatir yeh junoon Faraz kab tak,
Jo tumhe bhulaa chuka hai usey tum bhi bhool jao..
Woh mera ho kar bhi mujh se mehroom raha..
Woh mera ho kar bhi mujh se mehroom raha,
Koi kya mujh sa bhi jeet ke haara ho ga..
...
وہ میرا ہو کر بھی مجھ سے محروم رہا
کوئی کیا مجھ سا بھی جیت کے ہارا ہو گا
.....
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)