Umar kitni manzilein teh kar chuki,

Umar kitni manzilein teh kar chuki,
Dil jahan thehra, thehra hi reh geya..
عمر  کتنی  منزلیں  ته  کر  چکی 
دل جہاں  ٹہرا، ٹہرا  ہی  رہ  گیا 

Dil ki dhadkanain sunain kaisay

Dil ki dhadkanain sunain kaisay,
Hum apne dil ka haal batain kaisay,

Dil hai jis k liye dewana,
Use hum apna banain kaisay,

Apney bhi aab paraye lagte hai,
Hum apne pyaar is zalim dunia se chupa'ain kaisay.

Mene samandar se seekha hai jeeney ka saleeqa..

Mene samandar se seekha hai jeeney ka saleeqa,
Chup chaap se behna, apni mauj mein rehnaa..

Lena parrega ishq mein tark-e-wafaa se kaam..

Lena parrega ishq mein tark-e-wafaa se kaam,
Parhezz is marz main hai behter ilaaj se..

Rukhsati ka din

Lo aj rukhsati ka din a he gaya 
Jis ke arzoo the wo din a he gaya
Ho ka rukhsat apnay ghar jate ho tum
Badal na khuwasta tar ho jate ho tum 
Arzi hota ha sada ghar MA BAAP ka 
Sath kb reta hai sada ghar ma baap ka
Khawand ko dil sa na bhoolana kabhe 
Wo chaha ga tumha Tum na azmana kabhe
Dua tujha KHUDA sada shadoo abad rakha
Sir par tara wo apne rehmat ka hath rakhay 
ameen 

Bs itni se ilteja ha baba

Bs itni si ilteja ha baba, Tere masoom bati ke
Jis ko bhe daina mujh ko, Bs naik daikhna
Bhooke rahpon ge din bhar, Nokar bhe rahon ge
Bs kisi insan ko soonpna, Mujha insan samajh kar,,...

Afsaanon ki duniya mein sab jhoot nahin hota..

Afsaanon ki duniya mein sab jhoot nahin hota,
Dil aur bhi uljhay ga parrhiye na kitaabon ko..
افسانوں  کی  دنیا  میں  سب  جھوٹ  نہیں  ہوتا 
دل  اور  بھی  الجھے  گا  پڑھیے  نہ  کتابوں  کو   

Kabhi kabhi teri beniaazi se khauf kha kar..

Kabhi kabhi teri beniaazi se khauf kha kar,
Mein sochta hoon tu mera intikhaab kyun hai..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...