December Kay Mahinay Ka Woh Din
December Kay Mahinay Ka Woh Shaid Akhri Din Tha
Baras Guzray Kayen
Main Nay ?Mohabat? Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Kay Tukray Per!
Achanak Yaad Aya Hay
Baras Guzray Kayen
Muj Ko Kisi Say Bat Kerni Thi
Usay Kehna Tha
Jaan-Nay Jaan! ?Mujay Tum Say Mohabat Hay?
Magar Main Keh Nahi Paya
Woh Kagaz Ag Tak Lipta Para Hay Dhool Main Lakain
Kisi Ko Day Nahi Paya
Dobara Cha Ker Bhi Main Mohabat Ker Nahi Paya!
Labels:
best ghazal
Tujhse Door Ho Gaye
Kya Kahen Hum Kaise Tujhse Door Ho Gaye
Haalaat Se, Kuch Khud Se Majboor Ho Gaye
Mohhabbat Rula Deti Hai, Kab Ye Maana Tha
Apne Dil Ke Afsaane Wohi Dastoor Ho Gaye
Manzil Jise Samjha Bana Wo Meel Ka Pathar
Nayi Manzil, Naye Raaste Manzoor Ho Gaye
Hadd Se Barh Jaaye Jo Ghum, Deta Nahin Dard
Muskura Rahe Hain, Aise Hum Ranjoor Ho Gaye
Dil Tera Reza Reza Hai, Kaise Sambhale Tujhko
Khudaya Humse Kaise Yeh Qusoor Ho Gaye !!!
Labels:
best ghazal
Tanhai hai pyar mein
Tanhai hai pyar mein
Barbaadi hai pyar mein
Aansoon hai pyar mein
Bebasi hai pyar mein
Gam bhi hai pyar mein
Haar bhi hai pyar mein
Hamein sab pata hai
Lekin kya kare
Hum bhi hai pyar mein!
When I die and go to Heaven ,
I will put your name on a golden star,
so that all the angels can see
how much you mean to me!
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
Labels:
Best Poetry
Meri sochon ke harpal
Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,
Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,
Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,
Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,
In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,
Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,
Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho.
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Mohabbat mein jeene wale
Mohabbat mein jeene wale Khushnaseeb hote hain.
Mohabbat mein marne wale Ajeeb hote hain.
Aur, Har waqt Mohabbat ki baatein karne wale Bad-tameej hote hain.But wait?..
Aisa apun ko lagta hai.Aapko kya lagta hai ?
Jawaab do?
Warna jawaab nahi dene wale Dimaag ke marij hote hain !heheheheheheheheheehehe!
Labels:
Funny Quoets
Subscribe to:
Posts (Atom)