Jazbaat behkte hain jab tumse milta hu
Jazbaat behkete hain jab tumse milta hu,
Armaan machalte hai jab tumse milta hu
Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta,
Sab humse jalte hai jab tumse milta hu
Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho,
Toofan se chalte hain jab tum se milta hu
Haatho se hath milte hain hotho se hoth
Dil se dil milte hain,jab tumse milta hu
Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat,
Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hu
Labels:
best ghazal
Bhala Kaise Bhulaaon Gi
Meri jaa.n sochti hon main
Agar tum mil na paay tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaao.n gi!
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaao.n gi!!
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoo.n gi!!!
meri jaa.n sochti hon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoo.n gi!
Jo aadhi um’r jeeni hay
Wo main kaise bitaao.n gi!!
Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Teri yaadai.n jo aae.n gi
Mujhe pal pal rulai.n gi
Merey Anchal ko kainchai.n gi
Mujhe kutch gud-gudai.n gi
Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!!
Jo baatai.n tum sey karti hon
bhala kis ko bataao.n gi!
Naya jab sher likhoo.n gi
Tu main kis ko sunaao.n gi!!
meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Meri jaa.n Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoo.n gi
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Aao mere hath pe apna hath rakho
Tanha Ghar Se Bahir Jana Theek Nahi,
Tum Masoom Ho Aur Zamana Theek Nahi.
Saaf Dilon Ko Phir Se Maila Kr Den Gi,
Guzri Baaton Ko Dohraana Theek Nahi.
Aisi Cheezen Door Se Achhi Lagti Hain,
Chaand Ko Apny Paas Bulana Theek Nahi.
Aao Mery Haath Pe Apna Haath Rakho,
Saail Ko Khali Loutana Theek Nahi.
Rafta Rafta Tabeeren Beh Jati Hen,
Num Aankhon Mein Khawab Sajana Theek Nahi.
Chorr MOHSIN In Pathar Dil Insanon Ko,,
Apny Dil Ka Haal Sunana Theek Nahi..
Labels:
best ghazal
Tu jo aa jaaye to
Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu
Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!!
Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne
Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!!
Jis’se milna nahi us’se mohabbat kaisi
Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!!
Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata
Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!!
Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain
In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu..!!!!
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Mujhe talash hai uski
Na wo farishta ho Na farishtay Jaisa ho …
Mujhay Talash hai us ki jo mere Jaisa Ho …
Mere Khaloos ko Pehnchanta ho Bus Kafi hai …
Woh Koi b ho Kahin b Ho Kaisa Ho …
Ager kabhi Roth jaown main us say To…
Muskura k Manay Wo aisa ho …
Dukhon main Hasnay ka Hunar Janta ho …
Ek aisa Hum Safar Jo Samander ki tarah Gehra ho …
Umer Bher Sath chalay Woh Aisa ho …
Mujhay talsh hai us ki Jo mere Jaisa ho …
…
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Mohabbat khud batati hai
Mohabat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai
Kisay aankhon main rakhna hai
Kisay dil main basana hai
Reha karma hai kisko aur
Kisay zanjeer karma hai
Mitana hai kisay dil say
Kisay tehreer karma hai
Issay malom hota hai
Safar dushwar kitna hai
Kisi ki chasm-e-girya main
Chupa iqrar kitna hai
Shajar jo girnay wala hai
Wo saya daar kitna hai
Mohabbat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai..!
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Subscribe to:
Posts (Atom)