Usko dekhte rehne ke shauq mein

Mar kar bhi usko dekhte rehne ke shauq mein,
Aankhein kisi ko apni, amanat mein de gaye..

Woh khush-kalaam hai aesa ke us ke pass..


Woh khush-kalaam* hai aesa ke us ke pass humain,
Taveel rehna bhi lagta hai mukhtasir rehna..

Soorat teri dikhaa ke kahoon ga mein..

Soorat teri dikhaa ke kahoon ga mein hashar ke roz,
Aankhon ka kuch gunnah na dil ka kasoor tha..

Bohat mushkil se manayaa hai usey..

    Khuda kare ke saari umar humain manzil na miley,
Bohat mushkil se manayaa hai usey saath chalne ko..

Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kaai Is Jahan Ke


Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kaai Is Jahan Ke,
Us Ki Haseen Aankhon Main Jab Jhankta Hoon

Dil se teri nigaah jigar tak utar gayi..

Dil se teri nigaah jigar tak utar gayi,
Dono ko aik nazar mein razamand kar gayi..
دل سے  تیری  نگاہ  جگر  تک  اتر  گئی 
دونوں  کو  ایک  نظر  میں  رضامند  کر گئی    

Haath Main Haath Un Ka Yun Aaya..

Haath Main Haath Un Ka Yun Aaya,
Zindagi Mere Haath Lag Gai Ho Jaise…

Chahat Ki Raah Me Bhikre Armaan

Chahat Ki Raah Me Bhikre Armaan Bhut Hai
Hum Uski Yaad Me Pareshan Bhut Hai
Woh Har Baar Dil Todta Hai Ye Kah Kr
Meri Ummedon K Duniya Me Abi Mukaam Bahut Ha

Charag-e-ishq jalne ke rat aayi hai

charag-e-ishq jalne ke rat aayi hai
kisi ko apana banane ke rat aayi hai

falak ka chadd bhi sharma ke munh chupayega
naqab rukh se uthane ke rat aayi hai

nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab
pio ki pine-pilane ke rat aayi hai

wo aj aae hain mahafil mein chandani lekar
ki raushani mein nahane ke rat aayi hai

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq

ya kahun tum se main ke kya hai ishq
jan ka rog hai, bala hai ishq
ishq hi ishq hai jahan dekho
sare aalam mein bhar raha hai ishq
ishq mashuq ishq aashiq hai
yani apna hi mubtala hai ishq
ishq hai tarz-o-taur ishq ke tain
kaheen banda kaheen khuda hai ishq
kon maqsad ko ishq bin pahuncha
aarzoo ishq va mudda hai ishq
koyi khvahan nahi mohabbat ka
tu kahe jins-e-narawa hai ishq
meerji zard hote jate hain
kya kaheen tum ne bhi kiya hai ishq?
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...