Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon.

Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon,

Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon,

Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,
Barri dair tak aaj khud se larri hoon,

Tere sang barish mein chhatri ke neechey,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon,

Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon,

Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

Rizwana Hussain

Meine ashjaar pe likha hua dekha hai kahin..

Meine ashjaar* pe likha hua dekha hai kahin,
Phall na do ge to tumhe kaatt diya jaye ga..

(ashjaar;trees)

Woh sath tha hamare, ya hum pas they un ke..

Woh sath tha hamare, ya hum pas they un ke,
Woh zindagi ke kuch din, ya zindagi thi kuch din..

Phir chupke se yaad aa gaya koi

Phir chupke se yaad aa gaya koi,
Meri aakhon ko phir rulaa gaya koi,
Kaise uska shukria aada Karen,
Mujh naachiz ko “shayar“ bana gaya koi.

Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi

Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi,
Karke mohabbat koi nahi bachega,
Jo bach gayaa use tanhaai maar dalegi...

Wo tum hi kya jisme hum nahi

Wo zindagi hi kya jisme pyar nahi,
Wo pyar hi kya jisme yaden nahi,
Wo yaden he kya jisme tum nahi,
Wo tum hi kya jisme hum nahi.

Woh pyaar jo haqikat meh pyaar hota hai


Woh pyaar jo haqikat meh pyaar hota hai,
Zindagi meh sirf ek baar hota hai,
Nigahon ke milte milte dil mil jaaye,
Yeh ittefaq sirf ek baar hota hai !

Log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai

Log har manzil ko mushkil samajhte hai,
Hum har mushkil ko manzil samajhte hai.
Bada fark hai log aur hamare nazarie mein,
Log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..

Mere hisse ki har khushi apne haathon par saja lena

Mere hatoon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin..
Agar mile tumko kahin to utha lena ,
Mere hisse ki har khushi apne haathon par saja lena ....

Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai

Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai,
Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai,
Teer ki kya zaroorat e-janam,
Qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai....
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...