Mere hisse ki har khushi apne haathon par saja lena

Mere hatoon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin..
Agar mile tumko kahin to utha lena ,
Mere hisse ki har khushi apne haathon par saja lena ....

Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai

Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai,
Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai,
Teer ki kya zaroorat e-janam,
Qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai....

YAADEIN SHAYARI – YAAD MEIN ALFAZ LIKHTA HUN

love-the-moment- shsyari yaadein
Kalam Chalti Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hoon,
Gham Aur Judai Ke Andaz-E-Bayaan Likhta Hoon,
Rukte Nahi Hain Meri Aankhon Se Aansu,
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaz Likhta Hoon…

Apni har ek saans teri ghulam kar rakhi hai

Apni har ek saans teri ghulam kar rakhi hai,
logo me ye zindagi badnam kar rakhi hai,
aaina bhi nahi ab to kisi kam ka?
hamne to apni parchhayi bhi sanam tere naam kar rakhi hai?

Dil ki batein aakhon se kahi jati hai

Dil ki batein aakhon se kahi jati hai,
Bol dhadkan se sune jate hai,
Aap toh nadan hai jo saaf sunna chahte hai,
Ishq ke jazbat toh sirf mehsoos kiye jate hai?

Nasha Tha Unke Pyar Ka

Nasha Tha Unke Pyar Ka ,
Jiss Mein Hum Kho Gaye ,
Unhi Bhi Nahi Pata Chala,
Ke Kab Hum Unke Ho Gaye

Zindagi ke liye jaan zaruri hai

Zindagi ke liye jaan zaruri hai,
Pane kle liye arman zaruri hai,
Hamare paas chahe ho kitna hi gham,
Par aapke chehre par muskan zaruri hai

Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai


Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
Jhuki nigaah ko ikaraar kehte hai,
Sirf paane ka naam ishq nahin hota,
Kuch khone ko bhi pyaar kehte hai.. 

Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai

Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai

Wedding Shayari – Dulhan

Kamaal-E-Zabt Ko Khud Per Bhi Azmaun Gi
Main Apne Haath Se Us Ki Dulhan Sajaun Gi

Supurd Kar K Use Chaandni K Haathoon
Main Apne Ghar K Andheron Ko Laut Aun Gi

Badan K Karb Ko Vo Bhi Samajh Na Pai Ga
Main Dil Men Roun Gi Aankhon Mein Muskaraun Gi

Wo Kyaa Gaya K Rafaaqat K Saaray Lutf Gaye
Main Kis Se Roothoon Gi Kise Manaun Gi

Wo Ik Rishta-E-Be Naam Bhi Nahi Lakin
Main Ab Bhi Us K Ishaaron Pe Sar Jhukaun Gi

Bichha Diya Tha Gulabon K Saath Apna Vujood
Wo So K Uthe To Khawabon Ki Raakh Uthaun Gi

Ab Us Ka Fun To Kisi Aur Se Mansoob Ho Gaya
Main Kis Ki Nazm Akele Mein Gun Gunaun Gi

Jawaaz Dhoondh Raha Tha Nai Mohabbat Ka
Wo Keh Raha Tha K Main Us Ko Bhool Jaun
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...