Nigah e ishq


Nikab kya chupay ga shababe hussan ko 
Nigah e ishq to pathar ko bhe cheer daite ha

Haya ke kahani


Aankhoo sa parhe jate hai haya ke kahani
Nikab dal kar koi parsa nahe hota 

Janay kya soch kar kuch dair maray sath raha


Janay kya soch kar kuch dair maray sath raha
Hath sa hath chura kar kahe janay wala

Beth kar saya gul ma


Beth kar saya gul ma NASIR
Hum bohat roy wo jab yaad aya

Qabool e jurm


Qabool e jurm kartay hain sajda ma gir k
Saza e mout manzoor hai par muhabbat ab nahe karne

Mera dil sirf ap ke mohabbat k lya

Mera dil sirf ap ke mohabbat k lya 
Magar ya paishkash hai mehdood muddat k lya

Yeh ajab soorat-e-haal huyi jati hai..

Yeh ajab soorat-e-haal huyi jati hai,
Raat ke baad yahan raat huyi jati hai,
Woh to ab bhi mukammal hai kisi pathar ki tarah,
Raizaa raizaa to meri zaat huyi jati hai..

Maine khoya woh jo mera tha hi nahin..

Maine khoya woh jo mera tha hi nahin,
Us ne khoya woh jo sirf ussi ka tha..

Judaa huye bohat log eik tum bhi sahii..

Judaa huye bohat log eik tum bhi sahii,
Itni si baat par kya zindagi haraam karen..

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana..

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana,
Dhoop ankhon tak aa pohanchi hai, raat guzar gayi jana,
Bhanwar samay tak jis ne humain baaham uljhaaye rakha,
Woh albeli resham aesi baat guzar gayi jaana,
Sadaa ki dekhi raat humain is baar mili to chupkay se,
Khaali hath pe rakh ke kya soghaat guzar gayi jaana,
Kis kompal ki aas mein ab tak wese hi sarsabz ho tum,
Ab to dhoop ka mausam hai, barsaat guzar gayi jaana..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...