Judaa huye bohat log eik tum bhi sahii..

Judaa huye bohat log eik tum bhi sahii,
Itni si baat par kya zindagi haraam karen..

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana..

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana,
Dhoop ankhon tak aa pohanchi hai, raat guzar gayi jana,
Bhanwar samay tak jis ne humain baaham uljhaaye rakha,
Woh albeli resham aesi baat guzar gayi jaana,
Sadaa ki dekhi raat humain is baar mili to chupkay se,
Khaali hath pe rakh ke kya soghaat guzar gayi jaana,
Kis kompal ki aas mein ab tak wese hi sarsabz ho tum,
Ab to dhoop ka mausam hai, barsaat guzar gayi jaana..

Zindagi tere taaqub mein yeh log.

zindagiteretaaqub
Zindagi tere taaqub mein yeh log,
Itna chalte hain, ke mar jatey hain..

Nadan


Nadan thay jo rakhta thay umeed kisi par 
Zat e ALLAH ka siwa koi kisi ka nahe hota 

Har waqt khush rehna ka mashwara daitay hoa

Har waqt khush rehna ka mashwara daitay hoa 
Roo para wo aj mujh ko hosla daitay hoa

Nigahoon ke zuban

Milatya he nazar hum sa chura laitay ho nigahian 
Kya khoob samajhta ho nigahoon ke zuban tum

Youn he rakhta raha bachpan sa dil saf hum apna

Youn he rakhta raha bachpan sa dil saaf hum apna
Pata nahe tha ka qeemat to chehroon ke hote ha dil ke nahe

Sab he tareef kartay hain mare tehreeron ke

Sab he tareef kartay hain mare tehreeron ke
Kabhe koi nahe sunta mare lafzoon ke siskeyan 

Ankhoon ma kashish

Kya kashish the us ke ankhoon ma
Mat pocho 
Mujh sa mara dil lar para mujha wo shaks chahya 

Hasrat

Mat pooch kaisa guzarta hai har pal tera bin 
Kabhe baat karna ke hasrat kabhe daikhna ke tamana
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...