Intezar

Mout par bhe yakeen ha, In par bhe etbaar hai
Daikhta hain pehla kon ata ha, dono ka intezaar hai

Anaa Parast

Anaa Parast To Hum Ghazab K Hain ....
Bs Teray Gharoor Ka Ehtaram Kartay Hain

Masoom khareedar

Jee chahta hai ussay muft ma dil da doon 
Itnay masoom khareedar sa kya laina daina

Yeh aur baat ke main chorr chuka kuuza gari..

Yeh aur baat ke main chorr chuka kuuza gari*,
Tere jaise to mein matti ke bana sakta hoon..

(kuuza gari;an art of making dishes from sand)

Teri aankhen sawaal karti hain..

Teri aankhen sawaal karti hain,
Meri himmat jawaab deti hai..

Woh shakhs jab chahey cheen le mujhe..

Yeh kya ke woh shakhs jab chahey cheen le mujhe,
Apne liye woh shakhss tarrapta bhi to dekhoon..

Na-umeedi ka main qaayel to nahin hoon..

Na-umeedi ka main qaayel to nahin hoon magar,
Mene barsaat mein jaltey huye ghar dekhe hain..

Tu meri zindagi mein laazim hai..


Tu meri zindagi mein laazim hai,
Jese pehla sawaal parchay ka..

Aik moudat say mayre maa nahe sooie tabish ..

Aik moudat say mayre maa nahe sooie tabish,
Main nay ik bar kaha tha mujy dar lagta hai…

Woh jo tha apne shab-o-roz mein gum..

Kon tha woh jo tha apne shab-o-roz mein gum,
Mar gaye jis ki mandderon* pe kabooter mere..
(mandderon;balcony)
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...