Woh jo tha apne shab-o-roz mein gum..
Kon tha woh jo tha apne shab-o-roz mein gum,
Mar gaye jis ki mandderon* pe kabooter mere..
(mandderon;balcony)
Labels:
2 Line Hindi Poetry,
2 Line Poetry
Jo hua ik bar woh har baar ho, aesa nahin hota..
Jo hua ik bar woh har baar ho, aesa nahin hota,
Hamesha aik hi se pyaar ho, aesa nahin hota,
Har ik kashti ka apna hi tajarba hota hai darya mein,
Saffar main roz hi manjhdaar ho, aesa nahin hota,
Kahani main to kirdaaron ko jo chahe bana dijiye,
Haqeeqat bhi kahaani kaar ho, aesa nahin hota,
Kahin to koi hoga jis ko apni bhi zaroorat ho,
Har ik baazi mein dil ki haar ho, aesa nahi hota,
Sikhaa deti hain chalna thokrain bhi raahgiron ko,
Koi raasta sadaa dushwaar ho, aesa nahin hota..
Nida Fazli
Labels:
best ghazal
Rotaa dekh ke sab ko ronay lagta hoon..
Mein to rotaa dekh ke sab ko ronay lagta hoon,
Dekh ke mujh ko log magar, kyun hansne lagte hain..
Labels:
2 Line Hindi Poetry,
2 Line Poetry
Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein..
Rotay rotay phaila kajlaa ankhon mein,
Pehney pehney sookha gajraa hathon mein..
Labels:
2 Line Hindi Poetry
Bohat nazdeek ho ker bhi woh door hai mujhse..
Bohat nazdeek ho ker bhi woh door hai mujhse,
Ishaara ho nahin sakta, pukara ja nahin sakta..
Labels:
2 Line Hindi Poetry
Subscribe to:
Posts (Atom)