Sath roti thi mere, sath hansaa karti thi..

Sath roti thi mere, sath hansaa karti thi,
Wohi ek thi jo mere dil mein basa karti thi,
Meri chahat ki talabgaar thi woh is darja,
Ke woh musalley pe namazon mein dua karti thi,
Ek lamhe ka bicharna bhi gawara na tha usey,
Rotey rotey woh mujh se yehi kaha karti thi,
Rog dil ko jo laga bethi thi anjaney mein,
Meri aagosh mein marney ki dua karti thi,
Baat kismat ki thi ke door ho gaye hum,
Warna woh to mujhe taqdeer kaha karti thi..

Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi..

Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi roya nahin..


Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe..

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe,
Meri tanhai mein, khawbon ke siwa kuch bi nahin,
Mere kamrey ko sajaaney ki tamanna hai tumhe,
Mere kamrey mein kitaabon ke siwa kuch bi nahin..

Talash

Dukhoon ka daldal ma dhansta chala gaya 
Khushe ke talash ma ma ghamoo ma utarta chala gaya

Guzar gahain

Guzra to hain hum  bohat martaba tare guzar gahoon se 
Magar...Ek martaba bhe tujh sa mulaqat na hoe
 

Niqaab

Niqaab to un ka sar sa la kar paoon tak tha 
Magar! Ankhain bata rahe then ka mohabbat ka shoqeen hain wo 

Tu geya, khaawb, justujuu bhi gaye..

Tu geya, khaawb, justujuu bhi gaye,
Tujh se kitne mere hawaaley they..

Haaye zaalim ne zara sa bhi takaluf na kiya..

Haaye zaalim ne zara sa bhi takaluf na kiya,
Hum ne chaahi jo ijaazat to ijaazat de di..

Ishq woh peer hai ke jis ka mureed..

Ishq woh peer hai ke jis ka mureed,
Ba-khuda!! na ghar ka hai na ghaat ka..

Hawaa se urr geya jo ghausla parindon ka

Hawaa se urr geya jo ghausla parindon ka,
Tufaan ko maloom kya yeh ghar kese bana tha..

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...