Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho..

Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho,
Hum-sukhan koi na ho, aur hum-zubaan koi na ho,
Parriye gar beemar to koi na ho teemar’daaar*,
Aur agar mar jaayiye to noha-khuwaa’n* koi na ho..
(teemar’daaar;caretaker, noha-khuwaa’n;noha reciter)

Hadh-e-adab ki baat thi..

Hadh-e-adab ki baat thi, hadh-e-adab mein reh gayi,
Maine kaha main chalaa, us ne kaha ke jaayiye..

Bicharrne waley, Chale jo ho to, bataa ke jao..

Bicharrne waley,
Chale jo ho to bataa ke jao,
Ke kitni shaamain udaas ankhon mein kaatni hain,
Kitni subhen akele pan mein guzaarni hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke kitne suraj,
Azaab raston ko dekhna hai,
Ke kitne mahtaab sard raton ki wusat’on se
nikalney hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke chand raton mein
Waqt kese guzaarna hai,
Khamosh lamhon mein tujh ko,
Kese pukaarna hai,
Bata ke jao ke kitne lamhe,
Shumaar karne hain hijrton ke,
Ke kitne mausam judayion mein,
Guzaarney hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke panchiyon ne,
Akele pan ka sabab jo pucha,
To kya kahoon ga,
Kisi ne rastey mein rok kar,
Yoon mujhse poocha,
Ke pichle mausam main saye saye,
Jo ajnabi tha kahan geya hai,
To kya kahoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke mein kis se,
Tera gilla karoon ga,
Bicharr ke tujhse habib,
Kis se milla karoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke ankh barsi,
To kon moti chunaa kare ga,
Udaas lamhon mein,
dil ki dharrkan suna karega,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke mausamon ko,
Payyaam dene hain ya nahin,
Falak ko, taaron ko, Jugnu’on ko,
Sallam dene hain ya nahin,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke kis pe hai aitbaar karna,
Ke kis ki baton pe be’niazi,
Ke silsley ikhtyaar karna,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke ab rawayion ki
Chaal kya ho,
Jawab kya ho, Sawaal kya ho,
Urooj kya ho, Zawaal kya ho,
Nigaah rukhsaar, zulf chehra,
Niddhaal kya ho,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke meri halat pe,
Chandni khilkhila pari to kya karon ga,
Bata ke jao ke meri soorat pe
Teergi muskura parri to,
Mein kya karoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke tumse bicharr ke,
Yeh waqt kese guzaarna hai,
Bicharr ke tum se yeh waqt,
Kese guzaarna hai,
Ujaarna hai, nikhaarna hai,
Badan ko kitna sanwaarna hai,
Bata ke jao,
Bicharrne waley,
Chale jo ho to,
bataa ke jao,
bataa ke jao..

Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota.

Ya Rab, gham-e-hijraan mein itna to kiya hota,
Jo hath jigar per hai, woh dast-e-dua hota,
Ik ishq ka gham aafat aur is pe yeh dil aafat,
Yeh gham na diya hota ya dil na diya hota,
Nakaam-e-tamanna dil, is soch mein rehta hai,
Yooon hota to kya hota, yoon hota to kya hota,
Umeed to bandh jati, taskeen to ho jati,
Vaada na wafaa kartey, vaada to kiya hota,
Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota..
Chiragh Hassan Hasrat

Yeh mujhe chain kyun nahin parrta..

yehmujhechain
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan mein kya ?

Aansuyon mein nihaayi hui hai raat..

Phir aaj aansuyon mein nihaayi hui hai raat,
Shayed hamari tarah hi sataayi hui hai raat.

Teri Rah Pe Bicha Ke Aankhe Ham..

Teri Rah Pe Bicha Ke Aankhe Ham,
Neend Ka Ghar Ujaar Baithey Hain
..

Maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti.

Yeh maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti,
Na tujhe qaraar hota, na mujhe qaraar hota..
Dagh

Tujhe rona hai to jee khol ke ro ley..

Aye dil! Tujhe rona hai to jee khol ke ro ley,
Duniya se na barrh kar koi veeraana mileyga..
Waheed Ullah Abadi

Narm-o-naazuq hai gulaabon jaisa.

Narm-o-naazuq hai gulaabon jaisa,
Woh hai naazuk mere khawbon jaisa..
Johar Syedi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...