Sochta hoon woh jahaan kesa hai..

Sochta hi rehta hoon woh jahaan kesa hai,
Doosri taraf se woh aasmaan kesa hai..

Mere samney churaa liya geya mujhe..

Na jane kin adaaon se lubhaa liya geya mujhe,
Qateel mere samney churaa liya geya mujhe,
Kabhi jo un ke jashn mein seyaahiyan bikhar gayin,
To roshni ke vaastey jalaa liya geya mujhe,
barah-e-raast raabta na mujhse tha qabool unhe,
Likhaa ke khat raqeeb se bulaa liya geya mujhe,
Jab un ke deed ke liye qitaar mein kharra tha mein,
Qitaar se na jaane kyun hattaa liye geya mujhe,
Mein rondney ki cheez tha kisi ke paon se magar,
Kabhi kabhi to zulff mein sajaa liya geya mujhe,
Sawaal tha ke wafaa hai kya, jawab tha ke zindagi,
Qateel pyar se galey laga liya geya mujhe..

Kissi ke vaadey ki laaj to reh jaye..

Kissi ke vaadey ki laaj to reh jaye,
Khuda kare ke meri zindagi wafa na kare..

Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh..

Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh,
Aur yeh bhi dekhte hain koi dekhta na ho..

Aayina dekh kar tassali hui..

ayinadekhkar
Aayina dekh kar tassali hui,
Hum ko is ghar mein janta hai koi..

Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz..

Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz,
Gila to tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhayi ho..

Dard ho dil mein to dua kijiye..

Dard ho dil mein to dua kijiye,
Dil hi jab dard ho to kya kijiye..

Mujhe bhi toot jana tha….

Woh pathar tha jese aur mein sheeshay ki maanind,
Usey thokar lagana thi, mujhe bhi toot jana tha..

Tum aaye ho ayaadat ko to itni arzz hai..

Tum aaye ho ayaadat ko to itni arzz hai meri,
Ke dil mein hain kis qadar daagh-e-hijraan dekhte jao..
Zauq Qureshi

Jamaa tum ho nahi sakte, Mujhe manfi se nafrat hai..

Jamaa tum ho nahi sakte,
Mujhe manfi se nafrat hai,
Tumhein takseem karta hon,
To haasil kuch nahi aata,
Koi qaaida, koi kuliyaa,
Na laagu tujh pe ho paaye,
Zarab tujh ko agar doon to ,
Hisabon mein khallal aaye,
Ikaayi ko, dahaayi par,
Mein doon nisbat to kaise doon?
Na qaalib ki tarha tum ho,
Na al-jabra se lagte ho,
Umer ye katt gayi meri,
Tujhe humdam samjhne mein,
Jo hall tera agar nikle,
To sab kuch hi ulajh jaye,
Sifar thi ibtidaa teri,
Sifar hi ab talak tum ho,
Sifar zarb-e-sifar ho tum,
Na jis se kuch faraq aaye…
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...