Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz..
Nahin shikwa mujhe kuch bewafaayi ka hargiz,
Gila to tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhayi ho..
Labels:
2 Line Hindi Poetry,
2 Line Poetry
Jamaa tum ho nahi sakte, Mujhe manfi se nafrat hai..
Jamaa tum ho nahi sakte,
Mujhe manfi se nafrat hai,
Tumhein takseem karta hon,
To haasil kuch nahi aata,
Koi qaaida, koi kuliyaa,
Na laagu tujh pe ho paaye,
Zarab tujh ko agar doon to ,
Hisabon mein khallal aaye,
Ikaayi ko, dahaayi par,
Mein doon nisbat to kaise doon?
Na qaalib ki tarha tum ho,
Na al-jabra se lagte ho,
Umer ye katt gayi meri,
Tujhe humdam samjhne mein,
Jo hall tera agar nikle,
To sab kuch hi ulajh jaye,
Sifar thi ibtidaa teri,
Sifar hi ab talak tum ho,
Sifar zarb-e-sifar ho tum,
Na jis se kuch faraq aaye…
Labels:
Best Poetry
Tu jo itna udaas hai Nasir..
Tu jo itna udaas hai Nasir,
Tujhe kya ho geya bata to sahi..
Labels:
2 Line Hindi Poetry
Na jane phir bhi kyun acha laga ha..
Na jane phir bhi kyun acha laga hai,
Agarchey zakham bhi gehraa laga hai,
Koi bichrra hai jaaney phir kisi se,
Suna hai aaj phir mela laga hai,
Raha haayel hamarey darmeyaan jo,
Mujhe woh faasla acha laga hai,
Main kyun na saadgi se us ko keh doon,
Mujhe woh shakhss kyun pyaara laga hai,
Unhe jiss baat ki parwaah nahin hai,
Mujhe us baat ka dharrka laga hai,
Ghiraa betha hai jo yaaron mein Khawar,
Mujhe woh aadmi tanhaa laga hai..
R N Khawar
Labels:
Best Poetry
Subscribe to:
Posts (Atom)