Tu jo itna udaas hai Nasir..
Tu jo itna udaas hai Nasir,
Tujhe kya ho geya bata to sahi..
Labels:
2 Line Hindi Poetry
Na jane phir bhi kyun acha laga ha..
Na jane phir bhi kyun acha laga hai,
Agarchey zakham bhi gehraa laga hai,
Koi bichrra hai jaaney phir kisi se,
Suna hai aaj phir mela laga hai,
Raha haayel hamarey darmeyaan jo,
Mujhe woh faasla acha laga hai,
Main kyun na saadgi se us ko keh doon,
Mujhe woh shakhss kyun pyaara laga hai,
Unhe jiss baat ki parwaah nahin hai,
Mujhe us baat ka dharrka laga hai,
Ghiraa betha hai jo yaaron mein Khawar,
Mujhe woh aadmi tanhaa laga hai..
R N Khawar
Labels:
Best Poetry
Ajeeb wehshat taari hai mujh per tere bin..
Ajeeb wehshat taari hai mujh per tere bin,
Ke saans lena bhaari hai mujh pe tere bin,
Na jee saken na mar hi saken judaayi mein,
Yeh zulm kesa jaari hai mujh pe tere bin,
Na kuch dikhayi deta hai na soojjhay kuch,
Andher duniya saari hai mujh pe tere bin,
Ke chorr ker jis din se gaye ho tum mujhe,
Shadeed aah-o-zaari* hai mujh pe tere bin,
Main bhool betha hoon apne aap ko jana,
Teri ajaara-daari* hai mujh pe tere bin,
Sadaa guzaaron kese bahaar ke din mein,
Yeh zarb* yeh bhi kaari* hai mujh pe tere bin..
(aah-o-zaari;heartfelt request, aah-o-zaari;moan, zarb;hit kaari;hard)
Labels:
best ghazal
Subscribe to:
Posts (Atom)