Marhale shoq ke dushwaar hua karte hain

Marhale shoq ke dushwaar hua karte hain,
Saaye bhi raah ki diwaar hua karte hain,
Wo jo sach bolte rehne ki kasam khaate hain,
Wo adaalat mein gunaah-gaar hua karte hain,
Sirf haathon ko na dekho kabhi aakhen bhi parho,
Kuchh sawaali bade khuddaar hua karte hain,
Wo jo pathar yuunhi raste mein pade rehte hain,
Un ke seene mein bhi shaah-kaar howa karte hain..

Ek masoom si dua hai inn labon pe..

Ek masoom si dua hai inn labon pe,
Koi kuch bhi karay mohabbat ke siwaa.

Teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin.

Jo teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko..

Umar-e-daraaz maang ke laaye they.

Umar-e-daraaz maang ke laaye they chaar din,
Do aarzu mein katt gaye do intizaar mein..

Mein intezaar ka qaayel na tha magar tu ne..

Mein intezaar ka qaayel na tha magar tu ne,
Lagaa diya mujhe deewaar se gharri ki tarah..

Haadsey bhi shaoor rakhtey hain..

Haadsey bhi shaoor rakhtey hain,
Dhoond lete hain gham ke maron ko..


Un ke khat ki arzu hai..

Un ke khat ki arzu hai, un ki aamad ka khayal,
Kiss qadar phaila hai karobaar-e-intezaar..

Aaney ke waqt tum to kahin rahe..

Aaney ke waqt tum to kahin ke kahin rahe,
Ab aye tum to fayda! hum hi nahin rahe..

Barre zor-o-shor se chal raha hai karobar..

barezor
Barre zor-o-shor se chal raha hai karobar-e-mohabat,
Kahin chahtein bik rahi hain kahin log badal rahe hain..

Barre zor-o-shor se chal raha hai karobar..

barezor
Barre zor-o-shor se chal raha hai karobar-e-mohabat,
Kahin chahtein bik rahi hain kahin log badal rahe hain..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...