Ghairon se kaha tum ne..

Ghairon se kaha tum ne, ghairon se suna tum ne,
Kuch hum se kaha hota, kuch hum se suna hota..

Jo muh ko aa rehi thi, ab lipti hai paoon se..

Jo muh ko aa rehi thi, ab lipti hai paoon se,
Barish ke baad khaak ki fitrat badal gayi..

Usey kaho ke milne ki ab dua na kare..

Usey kaho ke milne ki ab dua na kare,
Guzar gaye hain jo lamhe unhe haraa na kare,
Mujhe bhi khawb ke sehraa main ab nahin rehna,
Usey kaho ke khawbon se ab wafaa na kare,
Agar milay to khuloos o wafaa ho sath us ke,
Woh darmeyan main koi masla-e-anaaa na kare,
Dilon ke dard hamesha hi rastey rehte hain,
Magar yeh dukh ke kabhi ankh haq adaa na kare,
Hamarey hath mein rekha-e-wasl to hai magar,
Yeh khauf hai ke muqaddar kahin wafaa na kare,
Khuda gawah ke usey dekh kar hi jeetey hain,
Jo samney to rahe hain magar gilaa na kare,
Tumhare naam ki tasbeeh yeh kab se karta hai,
Mera yeh dil ke koi kaam ab kiya na kare
Main apne naam se roshan rahoon ga dunya main,
Usey kaho meri jaanib koi diyaa na kare..,

Akal laayi hai dhoond kar lakhon.

Akal laayi hai dhoond kar lakhon,
Ishq bhaari hai sab daleelon par..

Bhar aayen na ankhen to ik baat kahoon..

bharayennaankhen
Bhar aayen na ankhen to ik baat kahoon,
Ab tum se bicharrney ka imkaan bohat hai.

Behka to bohat behka, sambhlaa to bohat sambhla..

Behka to bohat behka, sambhlaa to wali thehra,
Is khaak ke putlay ka har rang niraala hai..

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil..

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil,
Har shakhs ko apne liye socha nahin kartey..

Na tarrapne ki ijaazat hai na faryaad ki hai..

Na tarrapne ki ijaazat hai na faryaad ki hai,
Ghuutt ke mar jaaon yeh marzi mere seyaad ki hai..

Hum ne to khud se intiqaam liya..

Hum ne to khud se intiqaam liya,
Tum ne kya soch kar mohabbat ki ?

Mohabbat ab tijarat ban gai hai..

Mohabbat ab tijarat ban gai hai,
Tijarat ab mohabbat ban gai hai,
Kisi se khelna phir chor dena,
Khilaono ki tarha dil tor dena,
Haseeno ki ye adat ban gai hai,
Kabhi tha naam iska bewafai,
Magar ab aaj kal behayaai,
Sharifon ki sharafat ban gai hai,
Kisi mandir ki moorat thi kabhi ye,
Bari khoobsurat thi kabhi ye,
Magar kya iski soorat ban gai hai,
Mohabbat ab tijarat ban gai hai,
Tijarat ab mohabbat ban gai hai..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...