Mohabbat ab tijarat ban gai hai..
Mohabbat ab tijarat ban gai hai,
Tijarat ab mohabbat ban gai hai,
Kisi se khelna phir chor dena,
Khilaono ki tarha dil tor dena,
Haseeno ki ye adat ban gai hai,
Kabhi tha naam iska bewafai,
Magar ab aaj kal behayaai,
Sharifon ki sharafat ban gai hai,
Kisi mandir ki moorat thi kabhi ye,
Bari khoobsurat thi kabhi ye,
Magar kya iski soorat ban gai hai,
Mohabbat ab tijarat ban gai hai,
Tijarat ab mohabbat ban gai hai..
Labels:
best ghazal
Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh..
Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh,
Aqal ka bojh uthaa nahin saktaa..
Labels:
2 Line Hindi Poetry
Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha..
Karke jafaa wo puchte hai haal hai kaisa,
Andaaz ye kaisa hai ye sawaal hai kaisa…
Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha,
Unke yun ruth jaanese malaal hai kaisa,
Har baat bata deti hai khamoshi se mujhko,
Aankho me mere yaar ki kamaal hai kaisa,
Sholay jo uth rahe hai bagawat ke aajkal,
Hai koi kisi ka nahi ye saal hai kaisa,
Agar tu nahi qaatil to sharik-E-gunaah to hai,
Tu itna bata chehra tera laal hai kaisa,
Murdey ki akarr deta hai zindon ko kayi baar,
Karta hai amiron ko aseer ye maal hai kaisa,
Me to shikaar unke khayalon ka hun ‘Anees’,
Wajood me unke nihaa.n ye jaal ye kaisa,
Labels:
best ghazal,
Best Poetry
Subscribe to:
Posts (Atom)