Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh..

Ishq naazuk mizaaj hai be-hadh,
Aqal ka bojh uthaa nahin saktaa..

Utrey utrey nazar aatey hain phoolon ke chehrey..

utreychehrey
Utrey utrey nazar aatey hain phoolon ke chehrey,
Tere jaaney se gulistaan pe hizaa’n chaayi hai..

Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha..

Karke jafaa wo puchte hai haal hai kaisa,
Andaaz ye kaisa hai ye sawaal hai kaisa…
Wo tere kabhi they hi nahi unka tu na tha,
Unke yun ruth jaanese malaal hai kaisa,
Har baat bata deti hai khamoshi se mujhko,
Aankho me mere yaar ki kamaal hai kaisa,
Sholay jo uth rahe hai bagawat ke aajkal,
Hai koi kisi ka nahi ye saal hai kaisa,
Agar tu nahi qaatil to sharik-E-gunaah to hai,
Tu itna bata chehra tera laal hai kaisa,
Murdey ki akarr deta hai zindon ko kayi baar,
Karta hai amiron ko aseer ye maal hai kaisa,
Me to shikaar unke khayalon ka hun ‘Anees’,
Wajood me unke nihaa.n ye jaal ye kaisa,

Ja bicharr ja magar khayaal rahe..

Ja bicharr ja magar khayaal rahe,
Yeh na ho umar bhar malaal rahe..

Woh mera tarrapna dil lagi samjhen..

Khuda ki shaan woh mera tarrapna dil lagi samjhen,
Kissi ki jaan jaati hai, kisi ka dil behelta hai..

Aik baat bohat talkh kahi thi us ne..

aikbaatbohattalkhhh_8767_1234_temp
Woh aik baat bohat talkh kahi thi us ne,
Baat to yaad naheen, Yaad hai lehjaa us ka..

Majrooh jis se dil hi nahin..

Majrooh* jis se dil hi nahin, rooh tak huye,
Woh teer itifaaq se ik ashnaa ka tha..

Rivaaj to yehi hai duniya ka, mil jana bicharr jana..

Rivaaj to yehi hai duniya ka, mil jana bicharr jana,
Tum se yeh kaisa rishta hai, miltay ho na bicharrtay ho..

Guzar hi jayen gi furqat ki yeh karri ratain..

Guzar hi jayen gi furqat ki yeh karri ratain,
Jo tu nahin, na sahi, tera intezaar to hai..

Itni shiddat se yaad aye ho..

Itni shiddat se yaad aye ho,
Jese phir yaad hi nahin aana.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...