Us ke janaazey mein tha shareek..

Saara hi sheher us ke janaazey mein tha shareek,
Tanhaayiyon khauf se jo shakss mar geyaa…

Akal ayyaar hai, sau bhaiss bana leti hai..

Akal ayyaar* hai, sau bhaiss bana leti hai,
Ishq bechara na mulla hai na zahid na hakeem..
(ayyaar;clever)

Woh lafzz dhoond raha tha..

zaeefbaapne_8767_1234_temp
Woh lafzz dhoond raha tha laraztey honton se,
Zaeef baap ne bete se baat karni thee..

Ragon mein khoon khaya ja raha hai..

Ragon mein khoon khaya ja raha hai,
Mujhe shayed bhulaaya ja raha hai,

Parri aangan mein mere dhoop aese,
Pas-e-deewar saaya ja raha hai,

Milaawat jab se jazbon mein hui hai,
Haqeeqat ko chupaaya ja raha hai,

Arey kyun ro diye tum mujh pe aese,
Mujhe to aazmaaya ja raha hai..

R N Khawar

Haal-e-dil kehne geya tha, na kaha..

Haal-e-dil kehne geya tha, na kaha,
Mausamon per guftguu achi rahee..

Mein pareshaan tha, pareshan hoon..

Mein pareshaan tha, pareshan hoon, neyi baat nahin,
Aaj woh bhi hain pareshan, khudaa khair kare..

Jis ko tufaan se ulajhney ki aadat ho..

Jis ko tufaan se ulajhney ki aadat ho Mohsin,
Aessi kashti ko sammandar bhi duaa deta hai..

Soya naheen hon mein sulaa do maan..

Soya naheen hon mein sulaa do maan,
Aajao mujhe lori sunaa do maan,
Ashk meri ankhon mein jam se gaye hain,
Kar ke dil pe jabbar mujhe rula do maan,
Dekho kitni be-tareeb ho gayi hai zindagi,
Bikhray hain mere baal bana do maan..

Taleem-o-taraki mein hai peechey..

Hairat hai ke taleem-o-taraki mein hai peechey,
Jiss qaum ka aghaaz hi Iqraa se huaa thaa..

Woh apne faaydey ki khaatir phir aan mila..

wohapnefayede
Woh apne faaydey ki khaatir phir aan mila hum se,
Hum nadaan samjhey yeh hamaari duaaon ka assar hai..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...