Jis ko tufaan se ulajhney ki aadat ho..

Jis ko tufaan se ulajhney ki aadat ho Mohsin,
Aessi kashti ko sammandar bhi duaa deta hai..

Soya naheen hon mein sulaa do maan..

Soya naheen hon mein sulaa do maan,
Aajao mujhe lori sunaa do maan,
Ashk meri ankhon mein jam se gaye hain,
Kar ke dil pe jabbar mujhe rula do maan,
Dekho kitni be-tareeb ho gayi hai zindagi,
Bikhray hain mere baal bana do maan..

Taleem-o-taraki mein hai peechey..

Hairat hai ke taleem-o-taraki mein hai peechey,
Jiss qaum ka aghaaz hi Iqraa se huaa thaa..

Woh apne faaydey ki khaatir phir aan mila..

wohapnefayede
Woh apne faaydey ki khaatir phir aan mila hum se,
Hum nadaan samjhey yeh hamaari duaaon ka assar hai..

Pas-e-parda woh saansain bechtey hain..

Pas-e-parda woh saansain bechtey hain,
Bazaahir jo ghubaarey bechtey hain..

Har ik mausam ka har ik rang shamil hai..

Mohabbat mein har ik mausam ka har ik rang shamil hai,
Mohabbat ka koi ik rang ya mausam naheen hotaa..

Apna to chahton mein yehi asool hai..

apnatochhton
Apna to chahton mein yehi asool hai,
Jab tu kabool hai to tera sab kuch qabool hai..

Kaanch sa jism kahin toot na jaye..

Kaanch sa jism kahin toot na jaye,
Husn waley teri angrrayi se dar lagta hai..

Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha..

Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha,
Meri tanhai mukammal tere aaney se hui..

Baat sirf yeh hai ke aadmi shayar..

Baat sirf yeh hai ke aadmi shayar,
Ya to hota hai ya naheen hotaa..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...