Kaanch sa jism kahin toot na jaye..

Kaanch sa jism kahin toot na jaye,
Husn waley teri angrrayi se dar lagta hai..

Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha..

Mein tanhaa tha magar itnaa nahin tha,
Meri tanhai mukammal tere aaney se hui..

Baat sirf yeh hai ke aadmi shayar..

Baat sirf yeh hai ke aadmi shayar,
Ya to hota hai ya naheen hotaa..

Yeh jawaani bhi burrhapey ki tarah guzrey gi..

Yeh jawaani bhi burrhapey ki tarah guzrey gi,
Umar jab kaat chukoon ga to shabaab aye ga..

Jo guzaari na ja saki hum se..

Jo guzaari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzaari hai..

Pehle teri thi justuju mujh ko..

pehleterithi
Pehle teri thi justuju mujh ko,
Ab mein apni talaash karta hoon..

Maana ke meri sheh-rag se qareeb hai tu..

Maana ke meri sheh-rag se qareeb hai tu,
Magar mein yeh faasla bhi kahan chahta hoon..

Dekh to bahar gali mein koi aya to nahin..

Dekh to bahar gali mein koi aya to nahin,
Ya hawaa ko aaj phir soojhi hai phir dillagi..

Kitaab-e-zeest ka ek aur baab khatam hua..

Kitaab-e-zeest ka ek aur baab khatam hua,
Shabaab khatam hua, azaab khatam hua..

Aalam-e-ghurbat ki shaam thi..

Dil tha udaas, aalam-e-ghurbat ki shaam thi,
Kya waqt tha ke tum se mulaaqat ho gayi..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...